Nazim's poetry

Nazim's poetry

Saturday, November 5, 2011

Bhool jayen to aaj behter hai,

Bhool jayen to aaj behter hai,
Silsile qurb k judai k, 
Bujh chuki khwahishon ki qandeelain,
Lutt chuke shaher aashnai k,

Raigaan sa'aton se kia lena?
Zakhm hon, phool hon, sitaare hon,
Jis ne jese bhi din guzare hon,
Zindagi se shikayaten kesi?

Ab nahi hain ager gile thay kabhi,
Bhool jayen k jo howa, so howa,
Bhool jayen k hum mile thay kabhi,

Akser auqaat chahne per bhi,
Faaslon main kami nahi hoti,
Baaz auqaat jaane walon ki,
Wapsi se khushi nahi hoti...!!!




No comments:

Post a Comment

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...