Nazim's poetry

Nazim's poetry

Friday, November 18, 2011

Phir Bhi Us Ka Intizar Kerna Kesa Lagta Hai

Azeem Hai Yeh Qurbat Ki Doooriyaan 
Sath Reh Ker Bhi Usko Na Pana  Kesa Lagta Hai 
Kismat Main Nahin 
Phir Bhi Us Ko Chate Hain
Yun Samjh Ker Kanto Per Chalna Kesa Lagta 
Hai Ab To Mehfil Main Bhi Humare Liye Tanhaye 
Hai Ghum Chupa Ker Mehfil Ko Sajana Kesa Lagta Hai 
Samjhne Per Bhi Samjhata Nahin Hai Dil 
Uski Yaad Main Raato Ko Jaagna Kesa Lagta Hai 
Us Ki Berukhi Ne Itne Diye Hai Ghum 
Zakham Chupa Ker Bhi Muskarana Kesa Lagta 
Hai Isse Kho Ker Mere Pass Rha Kuch Bhi Nahin 
Phir Bhi Khudh Ko Ameer Batana Kesa Lagta Hai
Khudh Ko Anmol Samjhne Ka Tha Bara Ghamand 
Phir Bhi Bemool Bik Jana Kesa Lagta Hai 
Kahayei Hai Dhoke Mohabaat Main Itne 
Ke Phir Bhi Us Ko Cahana Kesa Lagta Hai 
Maloom Hai Memon Teri Manzil Nahin Hai Koi 
Phir Bhi Safer Kerte Rhena Kesa Lagta Hai 
Anmol To Aah Ker Bhi Ja Chuke Hai Kab Ke
Phir Bhi Us Ka Intizar Kerna Kesa Lagta Hai







No comments:

Post a Comment

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...