Nazim's poetry

Nazim's poetry

Thursday, November 17, 2011

Kaheen Aah Ban Kay Lab Pe

Kaheen Aah Ban Kay Lab Pe Tera Naam Aa Na Jaay,
Tujhe Bewafa Kahoon Main Woh Maqaam Aa Na Jaay,

Zara Zulf Ko Sambhalo Mera Dil Dharak Raha Hai
Koi Aur Tair-e-Dil Tah-e-Daam Aa Na Jaay,

Jise Sun Kay Toot Jaay Mera Aarzu Bha Dil
Teri Anuman Se Mujh Ko Woh Piyaam Aa Na Jaay,

Woh Jo Manzilon Pe Laa Kar Kisi Humsafar Ko Looten
Unhi Rahzanu Mein Tera Kaheen Naam Aa Na Jaay,

Isi Fikar Mein Hain Galtaan Yeh Nizam-e-Zar K Bande
Jo Tamaam Zindgi Hai Woh Nizaam Aa Na Jaay,

Yeh Meh-o-Najoom Hans Lein Mere Aansuon Pe "Jalib"
Mera Mahtaab jab Tak Lab-e-Baam Aa Na Jaay.








No comments:

Post a Comment

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...