Nazim's poetry

Nazim's poetry

Friday, November 4, 2011

Kaati hai gham ki raat barre ahetram se,

Kaati hai gham ki raat barre ahetram se,
Akser bujha lia hai chirahon ko shaam se,

Roshan hai apni bazm aur is ahtemam se,
Kuch dil bhi jal rahe hain chiragon k naam se,

Muddat hoi hai khoon-e-tamanna kiye magar,
Ab tak tapak raha hai lahoo dil k jaam se,

Subah-e-bahaar hum ko bulati rahi magar,
Hum khailte rahe kisi zulfon ki shaam se,

Her saans per hai maut ka pehra laga howa,
Aahista aai hayaat guzar is maqam se,

Kaati tamam umr fareb-e-bahaar main,
Kaante samette rahe phoolon k naam se,

Ye aur baat hai k Ali hum na sun sake,
Aawaz us ne di hai humen her maqaam se...!!!


No comments:

Post a Comment

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...