Nazim's poetry

Nazim's poetry

Tuesday, November 1, 2011

Chashm-e-num teri rawani se alag rehta hoon,

Chashm-e-num teri rawani se alag rehta hoon,
Aag he aag hoon paani se alag rehta hoon,

Ghum-shuda hoon dhoond mut mera naam-o-nishan,
Main to her yaad-dehani se alag rehta hoon,

Tu mere tazkira-e-ishq main kyon rehta hai,
Main to khud apni kahani se alag rehta hoon,

Phool se tark-e-talluq ko zamana guzra,
Ab to main teri her nishani se alag rehta hoon,

Aik se hain mujhe sub hazir-o-ghayeb,
Main tere alam-e-faani se alag rehta hoon...!!!

No comments:

Post a Comment

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...