Nazim's poetry

Nazim's poetry

Thursday, November 17, 2011

Abr malboos-e-aab tha jaise


Abr malboos-e-aab tha jaise
Chaand ko kuch hijaab tha jaise

Kal achaanak wo yuN mila mujh ko
Koi pinhaaN jawab tha jaise

Safha safha safar tha yaadoN ka
Jalti bujhti kitaab tha jaise

Adh-kHili raat,an-kahe manzar
Raasta neem-taab tha jaise

Chaandni mein tuloo' hota hua
Raat ka aaftaab tha jaise

Gehri taareekiyoN mein behta hua
Aik roshan gulaab tha jaise

Raat bhar maire aariz o lab par
Bosa-e-maahtaab tha jaise

Uss ki aawaaz neem-khwaabeeda
Phool saa zeir-e-aab tha jaise

So k uTTha to meri aankhoN mein
Uss ki aankhoN ka khwab tha jaise
 















No comments:

Post a Comment

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...