Nazim's poetry

Nazim's poetry

Thursday, November 24, 2011

Abr-e-baran k irady bhi pur-israr se hain

Abr-e-baran k irady bhi pur-israr se hain,
Aaj barsy gi ghata khul k, ye asaar se hain.
Log aatey hain, thahertay hain, chalay jatey hain,
Apnay halaat bhi ujray huwe bazar se hain.
Wo agar chahey to dey sharf-e-mulaqat mujhay
Sb umeeden meri wabista mery yaar se hain
Ye zruri to nhi, jeet musarat bakhshay
Aysi khushian bhi hain, milti’n jo sirf haar se hain
Sar ba-kuf ho kay teray koochay ko chal nikla hon
Azm to pakay mgar rastay dushwar se hain…!


No comments:

Post a Comment

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...