Nazim's poetry

Nazim's poetry

Friday, October 28, 2011

na ghar baar na koyi thikaanaa khana-badosh hain

na ghar baar na koyi thikaanaa khana-badosh hain
apnaa kaam hai chalte jaana khana-badosh hain

chaand aur suraj sathi sadiyon sadiyon ke
donon se rishtaa hai puraanaa khaana-badosh hain

rang badalte mausam jaisi apni hasti hai
baarish va dhoop se kya ghabrana khaan-badosh hain

apne liye hain donon barabar ai duniyaa vaalo
kya but-khana kya maikhana khaana-badosh hain

No comments:

Post a Comment

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...