Nazim's poetry

Nazim's poetry

Friday, September 23, 2011

Woh sawan ki pehli barish

Woh sawan ki pehli barish 
aur woh beega beega zamana

woh parindoon ka pani mein nahaana
aur apnay paroon ko Phehlana

woh jheengar ki sar-e-sham aawazein
aur mandakoon ka tartrana

woh nagan ka barish mein raqs
aur koail ka dilsoz tarana

woh raat ki siyyah tareeki 
aur jugnoon ka tamtamana

woh yadoon ki ulji doar ko
khialoon mein suljana

woh teez hawa kai jhonkay ka
darwazay ki zanjeer bajana

aur woh dafatan tera
yadoon ki dunyaan sai nikal jana

Uddasiyaan dai jata hai
Uddasiyaan dai jata hai.


No comments:

Post a Comment

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...