Usay kehna kitaaboN meiN rakhay sookhay hoye kuch phool
Us kay lout aanay ka yaqeeN ab tak dilaatay haiN
Usay kehna kay uski jheel si aankhaiN kisi manzar par chaa jaeN
To sab manzar yohiN phir bheeg jatay haiN
Usay kehna kay thandy baraf par koi kisi kay saath chalta hai
tou QadmuN kay nishaaN phir say usey kay
loat aanay kay nishaaN dil par banaatay haiN
Usay kehna kay uski bheeghy aankhoN ka
wo aansoo Sitaaray ki taraH ab bhi hamaiN
shab bhar jaghaata hai Usay kehna
kay baarish khirkiyoN pay us kay
aansu paint karthi hai Usey ka naam likhty hai
Usay hi gungunaaty hai Usay kehna
kay khushbu 'chaandni
'taaray ' saba ' rastay ' ghata ' kaajal '
Muhabbat ' chaandni 'shabnam ' hawaiN '
raat din ' baadal Sabhi naraaz haiN
hum say Usay kehna judai kay darakhtoN
par jo sookhy tehniyaN haiN Wo saary baraf ki chaadar main
kab ki dhak chuky haiN Aur un shaakhoN
pay yaadoN kay Jo patay thay sunehry ho gaye haiN
Usay kehna december so gaya hai
Aur yakh basta wo bheegy January
phir lout aaey hai Usay kehna kay lout aaey..
No comments:
Post a Comment