Nazim's poetry

Nazim's poetry

Saturday, September 10, 2011

PAL BHAR KI DOORI…………!



Tujhse pal bhar ki doori ye dil kyu nai sah paaye
Payasa dil bas tere himilan ki aas jagaye
Har pal teri yaad sataye ye dil kanhi chain na paaye
Tu dil me bas ke dil ko pal pal meetha sa dard jagaye
Tere payar me rehti hu hardam in palko ko bichhaye
Tujh bin kyu mujhe kuchh bhi na bhaye
Saato rang lage jhoothe aur ye mausam paraye
Sang tere hi kyu udd jaay meri khushiyo ke saaye
Raate kyu lage ghaneri din lage bujhe bujhaye
Sang tere udd jaane ko kyu man mera lalchaye
Bhar ke aankho me nami ye raat akeli tanhaai laaye
Duur gagan ka tanha chand meri tanhai aur badhaye
Peele patto ki ye ruut dil ka dard aur badhaaye
Meri jaan tum bin mujhe kuchh bhi raas na aaye
Sheetal madhosh pawan veerhn ko tadpaa jaaye
Door desh me tum bin hum bhi bahut akele
Sang thandi pawan piya ka ye sandesha aaye

No comments:

Post a Comment

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...