Nazim's poetry

Nazim's poetry

Saturday, September 10, 2011

JISM-O-JAZBAAT BHI…………!!!!!!!!!!!!……..

Raat hawa thi kuchh sard aur kuchh mere khayal bhi
Kuchh dil ko khushi bhi thi par kuchh malaal bhi
Kuchh sapano ne paaye the rang kuchh ujaad bhi
Na the door hum aur the sath hum khayal bhi
Khawab toote hai aur dil ka hai ajab haal hi
Ab jo palat jaay khawab to ho kuchh muhaal bhi
Jo mila nahi hume thi talab bas ek khawab ki
Haath duwa se yu gira ki bhool gaye ab sawal bhi
Sham ki sard hawa ne mita di duriya darmiya ki
Hai mauj-e-hawao ko kuchh to mera khayal bhi
Usske hi baazuo me guzarti rahi har sinduri sham bhi
Mehakta raha jism ke khawaiso me rooh ka jaal bhi
Tapte aarmaano ko barish ki boondo ne kuchh yu bhigoya
Kii bheeg ke ussne bhi paaya tha kuchh dil-e-sukun bhi
Ghane gashuo ki ghata rukh se kuchh yu hati thi ki
Chand bhi sarmaya tha aur badalo ki li thi oot bhi
Sang mere wo bhi tha thi khabar ye bahar ko bhi
Sara aalam tha mehka-mehka sa sang mere jism-o-jazabat bhi

No comments:

Post a Comment

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...