Nazim's poetry

Nazim's poetry

Saturday, August 13, 2011

wo larki shayad paghal thi

lab khamosh,chasm khushk,kia samjhien ge tujh ko,
jo barish dil me hoti h,jo darya dill me behta h,
mujhe tujh se juda rakhta h,or dukh tak ni hota,
mere ander tere jesaye akhir kon rehta h,
wo larki shayad paghal thi
din raat hi gum sum rehti thi
kuch sharam-o-haya ka pekar thi
kuch naram mizagi rakhti thi
aankon me neem nasha sa tha
baaton se diwani lagti thi
hum raaz na tha us ka koi
bus khod se baaten karti thi
ek sham k aanchal me aksar
jazbaat chupae rakti thi
darti thi juda ho jane se
ya pyar se shayad darti thi
kya sabr tha us diwani ka
kya zabt-e-muhabbat rakhti th
he rashak muje us paghali pe
kya khoob muhabbat karti thi

ek taza hikayat hai sun lo to inayat hai
ek shakhs ko dekha tha taron ki trhan hum ne
ek shakhs ko chaha tha apno ki trhan hum ne
ek shakhs ko smjha tha ohololon ki trhan hum ne
wo shakhs qayamat tha kia uski krain batain
din us k leay peda or uski hi thi raatain
kab melta kisi se tha hum se thi mulaqatain
rang uska shahabi tha zulfain thi k mehkarean
ankhain thi ki jado tha palkain thi k talwarian
dushman bhi agr dekhy so jan dil haaray
kuch tum se wo milta tha batoon mein shahbahat mein
haan tum sa hi lgta tha shokhi mein sharart mein
lgta bhi tumhi sa tha dastor-e-mohabat mein
wo shakhs humain ek din
apno ki tarhaan bhoola
taroon ki tarah doba
pholo ki tarhaan toota
phir hath na aya
hum ne bahut dhonda tum kis leay chonky ho
kab zikar tumhara hai
kab tum se takaza
kab tum se shikayat hai
EK TAZA HIKAYAT HAI
SUN LO TO INAYAT HAI
Is Barish Ki Mausam Mein Ajeeb Si Kashish Hai
Na Chahte Howe Bhi Koi Shidat Se Yaad Aata Hai

 

No comments:

Post a Comment

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...