Nazim's poetry

Nazim's poetry

Saturday, July 2, 2011

Youn to laakh guzray hain chehray in nighahoon main

Youn to laakh guzray hain chehray in nighahoon main
Naqsh hoo gaya chehra Aik bas khialoon Main

Uss taraf qadam Uthay to mujhay laga aisay
Lamha Lamha guzra hai woo saffar Ujaloon main

Hum nay aazmanay ko kuch saal poochay Thay
Kis qaddar malahat thee uss k sab jawaboon main

Daikhti rahoon uss ko soochti rahoon uss ko
Kia nasha sa hoota hai uss ki naram batoon main

Hum say poochay koi' kis tarha ka hai sajjan
Hum batayen gay wo ik chand hai sitaroon main


No comments:

Post a Comment

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...