Nazim's poetry

Nazim's poetry

Saturday, July 9, 2011

Suno!

Suno!
Main thak gaya hoon
Meri Palkoon pe ab tak kuch adhooray khawaab jaltay hain
Meri neendon main tairay wasl ka resham ulajhta hai
Mairay ansoo mairay chehray pe tairay ghamm ko likhtay hain
Mairay ander kai sadiyun ke sanaton ka daira hai
Mere alfaaz baahain wa kiya mujh ko bulatay hain
Mager main thak gaya hoon
Aur main ne khamshi ki goad main sir rakh dia hai

Main baloon main
Tumharay hijr ki narm ungliyan mehsoos kerta hoon
Meri palkoon pe jaltay khawaab hain ab raakh ki soorat
Tumharay wasl ka resham bhi ab neendain nahin bunta
Mairi aankhon main jaisay THAR kay mausam ka basaira hai
Mujhay ander ke sanaton main gehri neend aai hai
Suno!
Iss yaad se keh do
Mujhay kuch dair sonay de...!!!


No comments:

Post a Comment

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...