Nazim's poetry

Nazim's poetry

Saturday, July 9, 2011

Samandar ki hawaOn par tumhara naam likh dunga

Samandar ki hawaOn par tumhara naam likh dunga
MaiN saahil per, maiN lehrOn par, tumhara naam likh dunga

Mehak utthay ga aangan phir mera, aangan kay phoolOn se
Main jab aangan K phoolOn par tumhara naam likh dunga

Aisa hoga na mere haath main jab paar kernay ko
MaiN darya k kinaarOn par tumhara naam likh dunga

Khala main jaaOnga main aik shab Or apnay haathOn se
Falak k sab sitaarOn par tumhara naam likh dunga

Khushi se ro parengi dekh lena bailay ki kalyaan
Main jab bailay ki kalyOn par tumhara naam likh dunga

Tumhara naam haatOn main jo qudrat ne nahi likha
To main khud apnay haathOn par tumhara naam likh dunga

Dhanak ubhre gi jab hanza ek gehray se baadal par
Dhanak k saaray rangOn par tumhara naam likh dunga


No comments:

Post a Comment

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...