Nazim's poetry

Nazim's poetry

Saturday, July 2, 2011

Nehi Mili Mujhe

Nahi Mili

Tum Ne To Keh Diya K Mohabbat Nahi Mili
Mujh Ko To Ye B Kehne Ki Fursat Nahi Mili

Neendon K Dais Jaty
Koi Khwab Dekhte
Lekin Diya Jalany Se Fursat Nahi Mili

Tujh Ko to Khair Shehr Walon Ka khoof Tha
Or Mujh Ko Apne Ghar Se Ijazat Nahi Mili

Phr Ikhtlaf-e-Raye Ki Sorat Nikal Pari
Apni Yahan Ksi Se B Aadat Nahi Mili

Be'Zaar Yon Hoe K Tere ehd Me Humain
Sb Kuch Mila
Sakoon Ki Dolat Nahi Mili
 

Sambhal kr rakhy

Jany kese sambhal kr rakhy
sab irady sambhal kr rakhy

kuch nye rang hain muhabbat k
kuch purany sambhal kr rakhy

mosam-e-ishq teri barish me
khat jo bheegy sambhal kr rakhy

jin ki khushbo udaas krti hy
wo b gajry sambhal kr rakhy

tujh se milne k or bicharny k
saary khadshy sambhal kr rakhy

jab hava ka mizaj barham tha
hum ne patty sambhal kr rakhy

arzo k haseen pinjry me
kuch parindy sambhal kr rakhy

hum ne dil ki kitab me tere
sary wady sambhal kr rakhy

tere dukh k tamam hi mosam
Ae zamany sambhal kr rakhy

mere khwabon ko raakh kr dala
or apne sambhal kr rakhy
 
teri sanson me gulabon si mehek lgti hy
husn jis rang me ho
teri jhalak lgti hy

sham hoty hi nigahon me utar aaty ho
dil ki dharkan tere pairon ki dhamak lgti hy

is lye phol main collar me saja leta hon
in ki khushbu tere anchal ki mehek lgti hy

jesa guzra ho abi tu mere darwazy se
ab hawa b teri payal ki khanak lgti hy

jany Q wo meri ankho ko bhala lgta hy
jis k chehre pe zara teri jhalak lgti hy

jis ki awaz mujhe had se bhali lgti thi
ab wo bansi tere lehje ki kasak lgti hy

jese guzra ho muhabbat ka janaza ARSHaD
kitni sunsan tere ghar ki sarak lgti hy
 

Kabi b bhol na pao gy

Bichar jain gy hum lekin
Hamari yaad k jugno
Tumhari shab k daman me
Sitara ban k chamkain gy
Tumhein bechain rakhain gy
Bohat masrof rehne k
Bahany tum banao gy
Bohat kosish kro gy tum
K ab mosam jo badlain to
Hamari yaad na aye
Mgr aisa nahi ho ga
Kahin jo sard mosam me
January ki hawaon me
Tumhare dil k goshy me
Jami hain barf ki trha
Wo yadain kese pighlain gi
Kabi garmiyon ki tapti surkh garmi me
Mere mazi ko socho gy
To ankhain bheeg jain gi
Ghari peechy ko dory gi
Kai salon ki gumgushta
hmaari yaad aye gi
Bichar jao mgr sun lo
Hamary darmiyan aisi
Koi to bat b ho gi
Jisy tum bhol na pao gy
Jisy tum yad rkho gy
Aur!
Unhi yadon me
Mujhe tum bhol na pao gy
Kabi b bhol na pao gy
 

main kon hon kya hon

Main jalwa-e-sadd rang hon ya moj-e=saba hon
Ehsas ki chokht pe khra soch raha hon

Ik jaam to pi lene de ae gardish-e-doran
Phr tujko main batata hon k main kon hon kya hon

Tum yaad kro pehli mulaqat ki batain
Main pehli mulaqat zara bhol gya hon

Aksr usy pa lene ki umeed me ae dost!
Khud apne lye rah ki deewar bana hon
 

Milna Tha Aisa Muhaal

Usy To Kho He Chuky Phr Khyal Kya UsKa
Ye Fikr Kesi K Ab Hoga Haal Kya UsKa

Wo Ek Shakhs Jisy Khud He Chor Bethe Thy
Ghulaye Deta Hy Dil Ko Malal Kya UsKa

Tumhari Ankho Me Chalkain Nidamtain Kese
Jawab Ban'ny Lga Hy Sawal Kya UsKa

Tumhare Apne Iradön Me Koi Jhol Tha
Kaho K Milna Tha Aisa Muhaal Kya UsKa

Wo Nafraton K Bhanwar Me B Muskura K Mila
Ab Is Se Barh K Bhala Ho Kamal Kya UsKa

Ab Is Trha B Na Yadon Ki Kirchiyan Chunye
Na Tha Firaq Se Behtr Visal Kya UsKa

Ye Soch Kr Na Mily Phr Usy Kabi "Khalid"
K Jany Hoga Nidamat Se Haal Kya UsKa
 

main woh shair

Main khizan ki dhop ka aaina
k main ek ho k hazar hon
kahin ansoun ka hon qafiLa
kahin jugnaon ki qatar hon

Koi tara tot k gir gya
koi chaand chat se utar gya
ksi Asman ki chaal se
jo bikhr gya wohi haar hon

Wohi sokhy sokhy se pair hon
wohi ujri ujri si tehniyan
koi phol jis pr khila nahi
main ghamon ki aisi bahar hon

mujhe Q bulaty hain pyar se
ye chehekty panchi mundair se
main khamoshi ka dard hon
main udas chaand ka pyar hon
 

To neend aye

Juda hon dil se ghamo k saye
to neend aye
bicharny wala jo lout aye
to neend aye

bs aaj ki raat chor do zid
usy na socho
kaha hy dil se
jo maan jaye
to neend aye

na'jany kesi musafatain hain jo hum ne orheen
nishan-e-manzil koi dikhaye
to neend aye

ye ek saya jo mere pehlo me so raha hy
hisar-e-chahat me sulaye
to neend aye

mera qabeela na chor jaye parao me hi
yaqeen is ka mujhe dilaye
to neend aye

ya jalty khaimy
ya aah zariyna
noha matam
HIRA ye manzar koi hataye
to neend aye
 

Kai Din Se Yonhi Udas Hon

Wo Jo Daavy'Dar Hy Shehr Me
K Sabi Ka Nabz Shanas Hun
Kabi Aa K Mujhse To Pochta
K Main Kis K Gham Me Udaas Hon

Ye Meri Kitab-E-Hayat Hy
Isy Dil Ki Aankh Se Parh Zara
Main Warq Warq Tere Samny
Tere Ru Baru
Tere Paas Hon

Ye Teri Umeed Ko Kya Hua
Kabi Tu ne Ghor Nahi Kiya
Ksi Shaam Tu ne Kaha To Tha
Teri Sans Hon
Teri Aas Hon

Ye Teri Judai Ka Gham Nahi
K Ye Silsile To Hain Roz K
Teri Zaat Is Ka Sabab Nahi
Kai Din Se Yonhi Udas Hon

Ksi Or Ki Ankh Se Dekh Kr
Mujhe Aise Wese Laqab Na De
Tera Aitbar Hon Jan-E-Man
Na Guman Hon
Na Qayas Hon
 

Humraz bdal dalo

Taskeen na ho jis se
Wo raaz bdal dalo
Jo raaz na rakh paye
Wo humraz bdal dalo

Tum ne b suni hogi
Bari aam kahawat hy
Anjam ka ho khatra
To aghaz bdal dalo

Pur-soz dilon ko jo
Muskan na de paye
Sur he na mily jis me
Wo saaz bdal dalo

Dushman k iradon ko hai
Zahir agr krna
Tum khail wohi khailo
Andaz bdal dalo

Ae dost kro himmat
Kuch dor sawera hy
Gar chahty ho manzil,
To parwaz bdal dalo
 

Tu Bdal Gya Hy

Kuch To Hy
Tu Bdal Gya Hy
Vo Teri Ankho K
Khwab Sary
Wo Batain Sari
Hisab Sary
Sawal Sary
Jawab Sary
Wo Khushiyan Sari
Azab Sary
Nasha Tha Jo Vo
Utr Gya Hy
Kuch To Hy
Tu Bdal Gya Hy
Jo Tere Milne Ki
Arzu Thi
Jo Tujh Ko Pany Ki
Justhu Thi
Hoi Jo Chahat Abi
Shuru Thi
Jo Teri Ankho Me
Roshni Thi
Jo Teri Baton Ki
Rangini Thi
Jo Teri Sanso Ki
Tazgi Thi
Jo Tere Lehje Me
Chashni Thi
Vo Sara Meetha Pighal
Gya Hy
Kuch To Hy
Tu Bdal Gya Hy

Ae bahar-e-muhabbat

Wo kehte hain ranjish ki batain bhula dain
muhabbat krain
Khush rahain
muskura dain

javani ho gar javidanii to ya Rab
teri saada dunia ko janat bana dain

shab-e-vasl ki beKhudi cha rahi hy
kaho to sitaron ki shamaiN bujha dain

tum afsana-e-qais kya pochty ho
idhar aao
hum tumko laila bana dain

baharain simaT aaiN
khil jaaiN kalyaN
jo hum tum chaman me
kabi muskura dain

vo aain gy aaj
Ae bahar-e-muhabbat
sitaron k bistar me
kalyaN bicha dain

No comments:

Post a Comment

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...