Nazim's poetry

Nazim's poetry

Thursday, June 2, 2011

Zikr-e-Shab-e-Firaq Se Wehshat Usay Bhi Thi

Zikr-e-Shab-e-Firaq Se Wehshat Usay Bhi Thi
Meri Tarah Kisi Se Muhabbat usay Bhi Thi

Mujh Ko Bhi Shauq Tha Naye Chehroon K Deed Ka
Rasta Badal K Chalne Ki Aadat usay Bhi Thi

Us Raat Dair Tak Who Raha Mahv-e-Guftagu
Masruf Main Bhi Kam Tha Faraaghat Usay Bhi Thi

Sunata Tha Who Bhi Sab Se Puraani Kahaniya
Taza Rafaqaton Ki Zarorat Usay Bhi Thi

Mujh Se Bichhar K Sheher Main Ghul Mil Gaya Who Shakhs
Halan K Sheher Bhar Se Raqabat Usay Bhi Thi

Who Mujh Se Barh K Zabt Ka Aadi Tha, Jee Gaya
Warna Har Ek Saans Qayamat Usay Bhi Thi

"Kaash" Na Jaan Khud Ko Nakam K Bad-Zauq
Who Mana Nahi Par Tujh Se Muhabat Usay Bhi Thi



 

No comments:

Post a Comment

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...