Nazim's poetry

Nazim's poetry

Monday, June 6, 2011

Raat Ki Tanhai Mein Unko Aawaaz Diya Karte Hain

Raat Ki Tanhai Mein Unko Aawaaz Diya Karte Hain
Raat Mein Sitaaron Se Unka Zikre Kiya Karte Hain
Woh Ayen Ya Na Ayen Humare Khwabon Mein
Hum Toh Bus Unhi Ka Intezaar Kiya Karte Hain ...!!

Judai Ka Patha Hota Agar Pyaar Se Pehle,
Tho Maut Ki Duva Mangte Hum Deedar Se Pehle ...!!

Hum Labon Se Keh Na Paaye
Unse Haal e Dil Kabhi
Aur Woh Samjhe Nahin Yeh
Khamoshi Kya Cheez Hai ...!!

Humsafar Na Mila, Tho Tham Gaya Tha Kaarvan
Aik Tara Bhi Humse Chhn Gaya, Maanga Jo Humne Aasman ...!!

Kisi Ne Sach Kaha Hai Koi Bura Nahi Hota
Sirf Waqt Aacha Ya Bura Hota Hai
Lekin Ye Kaisi Insafi Ke Hame Koi Galat Aurbura Samaj Le
Bina Pesh Karne Ka Mauka Diye ...!!

Hai Kya Kare Hum Jab Hume Sunne Ki Liye Tak Koi Tayaar Nahi
Hai Waqt Unko Auroo Ki Liye, Ye Nachiz Ko Kaun Jane, Aree Jaan Kar Bhi Anjan Bane
Jab Khade Hai Nawabzade
Aur Raiszade, Unke Samne Hum Kya Hai
Wah Re Uupar Wale Tera Lakh Lakh Shukriya
Ki Tune Mujhe Kamse Kam Nafraat Tho Diladi, Shukriyaa ...!!

In Udaas Muskurahaton Ke Peeche,
Ghum Ke Railay Hain
Ab Tumhain Kya Batayain,
Ke Tum Bin Hum Kitne Akele Hain ...!!

Cigarette Jalayi Ke Tumhari Yaad Na Sataye
Cigarette Jalayi Ke Tumhari Yaad Na Sataye
Iss Buzdil Duhan Ne Tumhari Tasweer Hi Banali ...!!

Shayad Uss Khuda Ne
Tujhe Banane Ke Baad Chaand Ko Banaya
Tabhi Tho Sabhi Kehte Hai
Ke Chaand Tho Tere Parchaai Hai ...!!

No comments:

Post a Comment

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...