Nazim's poetry

Nazim's poetry

Tuesday, June 21, 2011

ek dafa wo yaad hay tum ko

ek dafa wo yaad hay tum ko
bin batii jab cycle ka chalaan hoa tha
ham ne kaise bhookay pyasay bicharoon si acting ki thi
hawaldar ne ulta aik athani de kr bhej dia tha
ek chawani mare thi wo chawani bhigwado
or bhi kuch saman tumhare pas pra hay wo saman bhigwado
sawan k kuch bheegay bheegay din rakhay hain,
aur meray ek khat mein lipti raat parri hai,
wo raat bujha do
mera wo samaan lota do,
pat jhar mein kuch paton k girnay ki aahat,
kanoo mein ek baar phel k lot ayi thi,
pat jhar ki wo shaakh abhi tak kanp rahi hai,
wo shaakh gira do
mera wo samaan lota do,
ek akeli chatri mein jab adhay adhay bheeg rahay thay
adhay sookhay adhay giilay
sookha to mein lay aya tha,
gela mann shayad bistar k pass para ho,
wo bhijwa do mera
wo samaan lota do,
ek so sola chand ki raatain,
ek tumharay kandhay ka dil,
giili mehndi ki khushbo,
jhoot mooth k shikway kuch,
jhoot mooth k waday kuch
sub yaad kara doon,
sub bhijwa doon

mera wo samaan lota do,
ek ijazat day do
bus jab is ko dafnaon ga,
mein bhi waheen so jaon ga

No comments:

Post a Comment

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...