Nazim's poetry

Nazim's poetry

Tuesday, June 28, 2011

Kabhi Sang-E-Dar Ki Hai Justujoo,

Kabhi Sang-E-Dar Ki Hai Justujoo,
Kabhi Naqsh-E-Paa Ki Talash Hai,
Mera Dil To Hai, Sanam Aashna,
Mujhe Kis Khuda Ki Talash Hai,

Yun Kured Mujhko Na Door Tak,
Abhi Aag Hai, Meri Raakh Mein,
Jahan Khaak-E-Jaan Zara Baith Le,
Mujhe Us Faza Ki Talash Hai,

Kahin Hasraton Ki Hama Hami,
Kahin Khamoshi Ki Hai Daldalein,
Ye Ajab Khudi Ki Hai Khudsari,
Gam-E-Khushnuma Ki Talash Hai,

Kisi Raaste Se Milan Sahi,
Koi Ho Waseela To Karger,
Teri Justuju Hai Talash-E-Haq,
Mujhe Baddua Ki Talash Hai,

Ye Gubar-E-Azmat-E-Karvan,
Yehi Manzilon Ka Nishan Hai,
Kahin Barq Raah Mein Gum Hue,
Kahin Raahnuma Ki Talash Hai...




No comments:

Post a Comment

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...