Nazim's poetry

Nazim's poetry

Tuesday, June 28, 2011

Chehra Mera Tha Nigahen Us Ki

Chehra Mera Tha Nigahen Us Ki
Khamushi Main Bhi Wo Baten Us Ki

Mere Chehre Pe Gazal Likhti Gain
Sher Kahti Hui Ankhen Us Ki

Shokh Lamhon Ka Pata Dene Lagin
Tez Hoti Hui Sansen Us Ki

Aise Mausam Bhi Guzare Ham Ne
Subhen Jab Apni Thin Shaamain Us Ki

Dhyan Main Us K Ye Alam Tha Kabhi
Ankh Mahtab Ki Yaden Us Ki

Faisala Mauj-E-Hawa Ne Likkha
Andhiyan Meri Baharen Us Ki

Neend Is Soch Se Tooti Aksar
Kis Tarah Kat’ti Hain Raten Us Ki

Door Rah Kar Bhi Sada Rahti Hain
Mujh Ko Thamey Hue Baahein Us Ki


No comments:

Post a Comment

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...