Nazim's poetry

Nazim's poetry

Tuesday, June 7, 2011

bujhta huwa diya ye saza de gaya mujhay

bujhta huwa diya ye saza de gaya mujhay
mai shola e junoon tha, hawa de gaya mujhay

mai lehlahaati shakh ko samjha tha zindagi
patta gira to dars e fana de gaya mujhay

sooraj ki chund jaagti kirnon ka qafila
khwabeeda manzilon ka pata de gaya mujhay

khushboo ka aik narm sa jhonka bahaar mai
guzray huway dinon ki sada de gaya mujhay

merey liye to saans bhi laina mahaal hai
ye kaun zindagi ki dua de gaya mujhay

mai khamoshi ka paikar e be rang tha "SEHAR"
ik shakhs bolnay ki ada de gaya mujhay




1 comment:

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...