Nazim's poetry

Nazim's poetry

Tuesday, June 14, 2011

badan ke donoN kinaaroN se jal rahaa huuN maiN

badan ke donoN kinaaroN se jal rahaa huuN maiN
ke chhuu rahaa huuN tujhe, aur pighal rahaa huuN maiN

tujh hi pe Khatm hai jaanaaN mire zavaal kii raat
tuu ab tulu bhii ho jaa, ke Dhal rahaa huuN maiN

bulaa rahaa hai miraa jaama zeb milne ko
to aaj pairahan-e-jaaN badal rahaa huuN maiN

Ghubaar-e-rahguzar kaa ye hauslaa bhii to dekh
havaa-e-taazaa! tairay saath chal rahaa huuN maiN

maiN Khvaab dekh rahaa huuN ke vo pukarta hai
aur apne jism se baahar nikal rahaa huuN maiN


No comments:

Post a Comment

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...