Nazim's poetry

Nazim's poetry

Monday, June 6, 2011

apne honthon par sajaa kar tujhe,

apne honthon par sajaa kar tujhe, 
ham tere hi geet gaana chahte hain,
jal kar bujh jaana hamari kismat sahi,
bas ek baar roshan hona chahte hain......



ab bhi har subah teri yaad chali aati hai,

din hamare sang bita kar raat ko hi jaati hai,
teri yaadon ke aane jaane ka silsila yun hi chalta rehta hai, 
aur dil hamara shama ki tarah jalta rehta hai......



hukm hai yaar ka,

dard chhupa kar ankhon me ,
tum yun hi hansa karo,
yaad hamari aaye to bhi, 
aansuon se na vaasta karo



teri yaaden bhi,

tujh si zalim hain, 
jab dekhti hain tanha hamen, 
sataane chali aati hain....



tum karte ho hum se dillagi,
hamne to ise mohabbat hi maana hai, 
jee bhar ke sataa lo hamen, 
abhi tumhara hi zamana hai



Yun base ho tum hamare dil me,har saans aati hai chhukar tumko,
tumhe hamse mohabbat na sahi,par tumse hai mohabbat humko....



Humne kab tumse zamane bhar ki daulat maangi hai,bas teri ek nazar ke talabgaar hain hum,<
tum khush raho yehi dua hai meri, kuch aur maangen to gunehgaar hain hum...



Izhaar-e-ishq ne hamare,berukhi aapki badhaa di<
lagta hai iqraar karke,humne sabse badi khataa ki....



Aate the khayalon me, ab sapnon me bhi aate ho
Apne chahne waalon ko,kyon itna tadpaate ho
Hum hain bechain yahan, tum wahan muskuraate ho
Dil to liya hamara, ab kya jaanlena chahte ho..... 



Dil ka ye dard aankhon se beh jaaye to achha hai,
Tu chaah kar bhi hamen yaad na aaye to achha hai,
Maangne ko to khuda se maang len tujhe,
Par ye dua hothon par na aaye to achha hai... 



Aapki khushbu saanson me liye jaate hain,
Aapse phir milne ki dua kiya jaate hain,
Gar aisa ho ki kabhi na mil saken hum,
Aap hamare aur hum aapke dil me rahen,
Bas khuda se yehi chahte hain.. 

No comments:

Post a Comment

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...