Nazim's poetry

Nazim's poetry

Monday, June 6, 2011

Aap ki tarif mein likhe jitne bhi labz, Voh kum hei,




Aap ki tarif mein likhe jitne bhi labz, Voh kum hei,
Khusnasib hei hum ki aapne jise chaha jise mana,Voh hum hei!



Puche ab agar koi dil ki tamana,Toe naam de hum aapka,
Khud ko bhi ab agar kuch dena chahe,Toe jaam de hum aapka!



Sochte hei hum, ki kaise reh payenge ab aapke bina,
Marna toe mushkil tha hi, ab muskil ho jaayega jina..!



Dekha jab samandar mein lehero ko, aap aur yaad aaye !
Pyaar ke baadal aasman pe, ek arse baad phir chaaye ! 



Ek arsaa ho gaya, dekhe hue aapki surat, 
aapko ho na ho, humko to hei aapki zarurrat! 



Ek arsaa ho gaya, dekhe hue aapki surat, 
aapko ho na ho, humko to hei aapki zarurrat! 



Naa milne par jo becheini hoti hei, gawah hei yeh humare pyaar ki,
Thoda aur tadapne do-bechein hone do, intahaan hei yeh pyaar aur intazaar ki ! 



Becheini jitni badhti hei, badhta hei utna hi pyaar, 
Milne ki aas deti hei, judaai me bhi dil ko karaar ! 



Kya kare yeh tanha raatein hume sone nahi deti , 
Chahte hei ji bhar ke rona par rone nahi deti , 
Yeh halat is kadar dil ko bekaraar kar jaati hei, 
Ki chahat hei sone ki par sokar khwaboo mein khone nahi deti...! 



Jaane kitni gehri hei yeh tanhaai, 
dur-dur tak dikhti nahi tumhari parchaai, 
khamoshi si ek labhoo pe hei hardam chaai, 
ek muskaan phir bhi jaane kahaan se hei aai ? 
dil ke liye humare tumhare dil ka paigaam yeh layi, 
aur kuch nahi to band nigaaho mein surat tumhari humne paai... 



Bhul Se Bhi Yaad agar Hamari aaye, toh 
Padh lijiyega Huzzur, 
Aur Soch lena Ki us Taraf Bhi, 
chaaya Hei Kuch Aisa Hi Surrur.

No comments:

Post a Comment

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...