aao k koi Khuwab bunain kal k vaaste
warna ye raat aaj k sangeen daur ki
Duss legi jaan o dil ko kuch aise k jaan o dil
ta umr phir na koi hasein Khuwab bun sakein
go hum se bhaagti rahi ye tez gaam umr
Khuwaabon k asray pe kati hai tamaam umr
zulfon k Khuwab, honton k Khuwaab, aur badan k Khuwab
meraaj-e-fn k Khuwab, kamaal-e-sukhan k Khuwab
tahzeeb-e-zindagi k, farog-e-wattan k Khuwab
zindaan k Khuwaab, koocha-e-daar o rasan ke Khuwab
ye Khuwab hi to apni jawaani k paas they
ye Khuwab hi to apne amal k asaas they
ye Khuwab mar gaye hain to be rang hai hayaat
yun hai k jaise dast-e-tah-e-sang hai hayaat
aao k koi Khuwab bunein kal ke wastay
warna ye raat aaj k sangeen daur ki
Duss legi jaan o dil ko kuch aise k jaan o dil
taa umr phir na koi haseen Khuwab bun sake
No comments:
Post a Comment