Nazim's poetry

Nazim's poetry

Wednesday, May 25, 2011

Yeh haseen waadiyaan ye khula aasmaan


♥♥Yeh haseen waadiyaan ye khula aasmaan
Aa gaye hum kahan aye mere saajna
In bahaaron mein dil ki kali khil gayi
Mujhko tum jo mile har khushi mil gayi♥♥

Tere honthon pe hain husn ki bijliyaan
Tere gaalon pe hain zulf ki badliyaan
Tere baalon ki khushboo se mehke chaman
Sangmarmar ke jaisa ye tera badan♥♥

Meri jaanejaan ye hai teri chaandni
Chhed do tum aaj koi pyaar ki raagini
Ye haseen waadiyaan ye khula aasmaan
Aa gaye hum kahan ay mere saajna♥♥


Yeh bandhan hai pyaar ka dekho toote na sajni
Yeh janmon ka saath hai dekho chhoote na sajna
Tere aanchal ki chhaaon ke tale
Meri manzil mujhe mil gayi
Teri palkhon ki chaaon ke tale
Mohabaat mujhe mil gayi♥♥

Yeh haseen waadiyaan yeh khula aasmaan
Aa gaye hum kahan aye mere saajna
In bahaaron mein dil ki kali khil gayi
Mujhko tum jo mile har khushi mil gayi
Yeh haseen waadiyaan yeh khula aasmaan
Aa gaye hum kahan aye mere saajna♥♥

Jee karta hai saajna dil mein tumko bitha loon
Aa masti ki raat mein apna tumko bana loon
Uthne lage hain toofan kyon mere seene mein ay sanam
Tumhein chaahoonga dilon jaan se
Meri jaanejaan teri kasam♥♥

Yeh haseen waadiyaan yeh khula aasmaan
Aa gaye hum kahan aye mere saajna
In bahaaron mein dil ki kali khil gayi
Mujhko tum jo mile har khushi mil gayi♥♥

Meri jaanejaan yeh hai teri chaandni
Chhed do tum aaj koi pyaar ki raagini
Ye haseen waadiyaan ye khula aasmaan
Aa gaye hum kahan aye mere saajna
Yeh haseen waadiyaan yeh khula aasmaan
Aa gaye hum kahan aye mere saajna♥♥

No comments:

Post a Comment

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...