Nazim's poetry

Nazim's poetry

Saturday, May 21, 2011

woh pyar youn karta hai sambhalnay nahi daita


woh pyar youn karta hai sambhalnay nahi daita,
phir dukh k samunder main ubharnay nahi daita,

us ki jafa bhi mashroot hai wafa k saaath .....,
woh dard to daita hai par ronay nahi daita....,

karta hai waar marham ko khanjar pay laga k,
woh zakham to daita hai par marnay nahi daita,
jo torta hai dil to aansoo bhi bahata hai woh,
barbaad to karta hai par ujarnay nahi daita,

mehboob mila hai hum ko ajeeb sa dosto...,
woh aag to lagata hai par jalnay nahi daita

No comments:

Post a Comment

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...