Nazim's poetry

Nazim's poetry

Monday, May 23, 2011

Jaadu bhari aankhon waali suno

Mujhko jab aise dekhti ho tum
Rang bhar jaate hai fizaaon mein
Kasmasaati hai aarzoo dil mein
Geet ghul jaate hai hawaaon mein
Jaadu bhari aankhon waali suno
Tum aise mujhe dekha na karo
Jaadu bhari aankhon waali suno
Tum aise mujhe dekha na karo

(Phir main koi umeed karoon
Phir mujhe koi armaan ho)
Tum shaayad meri ban jaao
Phir dil ko aisa gumaan ho
Par aisa na hota achha hai
In baaton mein kya rakha hai
Mujhko aisi umeed na do
Jaadu bhari aankhon waali suno
Tum aise mujhe dekha na karo

(Phir dhadkan mein tum bas jaao
Phir koi ghazal main gaaoon
Phir chaand mein tumko main dekhoon
Phoolon mein tumko paaoon
Par aisa na hota achha hai
Iska anjaam jo hota hai
Voh dard hi deta hai dil ko
Jaadu bhari aankhon waali suno
Tum aise mujhe dekha na karo 

No comments:

Post a Comment

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...