Nazim's poetry

Nazim's poetry

Friday, May 20, 2011

Ek samundar meri aankhon se baha karta hai


Jab uska dard mere saath wafa karta hai
Ek samundar meri aankhon se baha karta hai

Uski batain mujhe khushbu ki tarah lagti hain
Phool jaise koi sehra main khila karta hai

Mere dost ki pehchan yehi kafi hai
Wo her shakhs ko danista khafa karta hai

Jab khazan aaye to lot aaye ga who bhi
FARAZ
Who baharon main zara kam hi mila karta hai



 

No comments:

Post a Comment

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...