Nazim's poetry

Nazim's poetry

Friday, May 20, 2011

Buhat Muddat Se Aisa Hai,


Buhat Muddat Se Aisa Hai,
K Tum Khamosh Rehtay Ho,

Koi Gehra Hai Ghum Shayad,
Jisay Chup Chap Sehtay Ho,

Yunhi Chaltay Hue Tanha,
Koi Ghamgeen Se Naghma,

Tum Aksar Gungunatay Ho,
Doran-e-Guftago Yunhi,

Milein Nazron Se Jab Nazren,
Toh Baatein Bhool Jatay Ho,

Kisi Gum Sum Si Halat Mein,
Ya Phir Barish K Mousam Mein,

Faqat Itna Hi Kehtay Ho,
Udasi Bewaja Si Hai,

Buhat Bojhal Tabiyat Hai,
Bhala Sach Kyun Nahi Kehtay,

Mujhe Tum Yaad Kartay Hooo…!



No comments:

Post a Comment

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...