Nazim's poetry

Nazim's poetry

Wednesday, May 18, 2011

Badli saawan ki koi jab bhi barasti hogi


Badli saawan ki koi jab bhi barasti hogi.
Dil hi dil mein woh mujhe yaad to karti hogi.

Theek se so na saki hogi khayalon se mere.
Karvatein raat bhar bistar pe badalti hogi.

Koshishen jitni bhi ki hongi bhulaane ki mujhe.
Yaad utni hi meri aur ubharti hogi.

Dar pe aahat si hui hogi hawa se jab bhi.
Dhadkanen dil ki bahot tez dhadakti hogi.

Khat na aane ka sabab jaan liya hai maine.
Kahin ruswai na ho jaye, wo darti hogi.

Poochti hogi hawaon se mera haal e dil woh
Uski galiyon se hawa jab bhi guzarti hogi.

Apne seene se laga kar meri tasveer ko woh
Aahen raaton ko mere pyar mein bharti hogi.

Jhooti aane ki khabar paake woh meri
Kabhi sajti to kabhi aur sanwarti hogi



No comments:

Post a Comment

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...