Nazim's poetry

Nazim's poetry

Tuesday, April 5, 2011

Zikr-e-Shab-e-Firaaq Se Vehashat Use bhi thi...

Zikr-e-Shab-e-Firaaq Se Vehashat Use bhi thi...
Meri Tarah Kisi Se Muhabbat Use bhi thi...
Mujh Ko Bhi Shauq Tha Naye Cheharon Ki Diid Ka,
Rasta Badal Ke Chalane Ki Aadat Use Bhi Thi...
Us Raat Der Tak Vo Raha Mahv-e-Guftagu,
Masruf Main Bhi Kam Tha Faraaghat Use Bhi Thi...
Sunata Tha Vo Bhi Sab Se Purani Kahaaniyan,
Taazaa Rafaqaton Ki Zarurat Use Bhi Thi...
Mujh Se Bichar Ke Sheher Main Ghul Mil Gaya Vo Shakhs,
Haalaanke Shahar Bhar Se Raqabat Use Bhi Thi...
Vo Mujh Se Badh Ke Zabt Ka Aadi Tha Ji Gaya,
Varna Har Ek Saans Qayaamat Use Bhi Thi....

No comments:

Post a Comment

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...