Nazim's poetry

Nazim's poetry

Monday, April 11, 2011

Usay Yeh Kehna K Roz-o-Shab Ka Safar Bhe Tanha Guzar Raha Hai

Usay Yeh Kehna K Roz-o-Shab Ka Safar Bhe Tanha Guzar Raha Hai
Woh Dil Jo Tere Liye Bana Tha Teri Talab Say Mukar Raha Hai

Meri Muhabbat Ke Band Aankhain Teray Jagnay Say Khul Sakain Ge
Wagrna Yah Dil Muhabton K Wajood Say He Mukar Raha Hai

Woh Apnay Aanso Jo Meri Khatir Chuhpa K Rakhti The Aanchal Main
Ab Us K Aanchal Ke Khusboon Ko Koi Haseen Maand Ker Raha Hai

Woh apnay Hathon Pay Aaj Mehndi Laga K Kitni Udaas Ho Gee
Woh Sochti To Zaroor Ho Ge Koi Usay Yaad Ker Raha Hai

Kabhi To Socho Tumharay Aanay Pe Jo Dewana Sa Ho Gaya Tha
Woh Kia Abhi Tak Waheen Khara Hai? Woh Jee Raha Hai? Keh Mer Raha Hai

Woh Kal Mila Tha To Us Ke Aankhon Main Vehshtain Raqs Ker Rahy Theen
Woh Qatra Qatra Pighal Raha Hai Woh Zara Zara Bikher Raha Hai

Udaas Logoon Ke Mehfilon Main Naii Kahani Koi Sunaaye
Koi Batayee K Itna Arsa Woh Kis Tarf Tha? Kidher Raha Hai

No comments:

Post a Comment

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...