Nazim's poetry

Nazim's poetry

Monday, April 25, 2011

Bazahir aam lehjay main..

Bazahir aam lehjay main..
kaha tha main ne jab us se..
"badal lo raasta apna..
juda rahain yaheen karlo..
...hamaray chahnay na chahnay se..
kuch nahi hota..
ye hi sach hai ke hum do mukhtalif..
raston ke raahi hai..
to phir kion dil ki manain hum..
shuru main manti hoon main..
azziyat dil ko pohanchay gi..
magar phir waqt guzray ga..
sabhi zakhmon ko bhar de ga"..
meray is aam se lehjay pe wo..
ik pal ko chonka tha..
meri aankhon main aankhain daal kar..
hairat se poocha tha..
"ye sab jo keh rahi ho khud ko ye samjha bhi pao gi?"..
bohat hi jee karda kar ke..
main us dam muskuraii thi..
bohat khud pe jabar kar ke..
main us se keh ye payi thi..
"meri tum fikr rehnay do..
sambhal jaoon gi main khud hi..
sabhi zakhmon ko sii loon gi..
bhula kar sari batoon ko..
akaili bhi main jee loon gi"..
buhat hi be yaqeen aakhoon se..
us ne mujh ko dekha aur..
Bina ik lafz bolay wo gaya or phir nahi aaya..
aur ab tark_e_taalluq ko..
agarche umar beeti hai..
magar is dil pe us ki zaat ka..
jo naqsh qaaim tha..
kabhi dhundla nahi hota..
mujhay mehsoos hota hai..
ke jaisay meray kanoon main..
wo apni bolti aankhoon se..
sargoshi si karta hai..
"WO SAB JO KEH RAHI THEEN..
KHUD KO WO SAMJHA BHI PAI HO !! ?"

No comments:

Post a Comment

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...