Nazim's poetry

Nazim's poetry

Wednesday, April 13, 2011

aaj phir saahil par khara dekhoun

aaj phir saahil par khara dekhoun
doobta sooraj
aasmaa'n par phaili taiz laali ko
ik qadam uthaana hai
jaana hai sooraj ki aur
ban kay ik gehra raaz
phaila hai yeh wasse-o-areez samandar
manzil hai woh doobti roshni
rasta hai yeh dolti lehrain
har qatray mein hain chuppay toofaan
na bheegtay huway
guzarna hai anjaanay paaniyon say
ik muajzay tak jaanay ko
ik muajzay say jaana hai
hai yeh ik hairaan-kun pahaili
roshni kay doobnay say pehlay
roshni ki aur qadam uthaana hai.....

No comments:

Post a Comment

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...