Nazim's poetry

Nazim's poetry

Saturday, March 5, 2011

Woh Hamare Nahi Toh Kya Ghum Hai

Woh Hamare Nahi Toh Kya Ghum Hai
Hum Toh Unhi Ke Hain Yeh Kya Kam Hai.
Na Gum Kam Hain Na Aansu Kam Hain
Dekhte Hain Rulane Wale Mein Kitna Dam Hai
************ ********* ********* **
Kasoor Na Unka Tha Na Hamara,
Hum Dono Hi Rishto Ki Rasam Nibhate Rahe,
Woh Dosti Ka Ehsaas Jatate Rahe,
Hum Mohabbat Ko Dil Me Chhupate Rahe.
************ ********* ********* **
Hum Ruthe To Kiske Bharose,
Kaun Hai Jo Aayega Hume Manane Ke Liye,
Ho Sakta Hai Taras Aa Bhi Jaye Aapko,
Par Dil Kaha Se Laau Aapse Ruth Jane K Liye.
************ ********* ********* **
Sirf Chahne Se Koi Baat Nahi Hoti,
Suraj Ke Samne Kabhi Raat Nahi Hoti,
Hum Chahte Hai Jinhe Jaan Se Bhi Jyada,
Wo Samne Hai Par Baat Bhi Nahi Hoti.

No comments:

Post a Comment

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...