Nazim's poetry

Nazim's poetry

Friday, February 4, 2011

Mujhe intezar hai faqat tumharay kehnay ka...

Mujhe intezar hai faqat tumharay kehnay ka...
mujhe batlaanay ka
ke...
kaheen achanak mujhe dekhtay hi tumhari aankhon main..
roshnian se kuon bhar jaati hain...
mairay ghar ke pass se guzartay hue...
qadam tumharay ruk se kuon jaatay hain....
kabhi apnay chehray per garam hiddat mehsoos kerke..
main mur ker dekhon tu...
tum billa vaja nazrain chura jaatay ho...
kabhi be-tahasha hanstay hanstay...
achanak khamosh hoker..
kisi nadeeda nuktay ko dekhtay hue...
kisi se poochtay ho..
ke...
kia ishq ke bagair zindagi na-mukammal hai?
magar janaa!
agar yahi baat tum mujhse poocho ..
tu main tumhain bataon ke haan!
ishq ke bagair..
zindagi mushkil nahi tu mumkin bhi nahi...
mosam be-rang nahi tu khush-rang bhi nahi
laikin mujhe tu sirf intezar hai...
bus uss lamhay ka...
jab tum apnay andar ke saray moosam
mujhe per aashkar kerdo...
magar...
isse pehlay ke yeh intezar la-hasil hojae...
tum sab kuch keh do...
voh sab kuch...
jo tumharay dil main hai....

No comments:

Post a Comment

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...