Nazim's poetry

Nazim's poetry

Monday, February 7, 2011

Main Bhula Chuka Sabhi Waastey Jo Thay Manzilon Ke Hasool Mein

Main Bhula Chuka Sabhi Waastey Jo Thay Manzilon Ke Hasool Mein
Mairi Manzilon Ke Hasool Mein Teri Raah Aaye To Kya Karoon
Jo Pukaarta Tha Her Aik Gharri Jo Jurra Tha Dil Say Larri Larri
Koi Shaks Aisa Ager Kabhi Mujhey Bhool Jaye To Kya Karoon
Kabhi Saath Tha Jo Ke Doo-ba-Doo Tha Humesha Mairey Hi Ru-ba-Ru
Jo Barrha Raha Tha Qadem Mairey Woh Hi Dagmaga jaye To Kya Karoon
Woh Charaagh-e-Dar Jo Jala Kabhi Main Bujha Chuka Hoon Magar Kabhi
Ke Bujha Huwa Bhi Diya Ager Maira Ghar Jalaye To Kya Karoon
Mainey Aks Tak To Mitta Diye Sabhi Aainey Bhi Chupa Diye
Tujhey Daikhta Koi Door Say Mairey Pass Aaye To Kya Karoon

No comments:

Post a Comment

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...