Nazim's poetry

Nazim's poetry

Wednesday, February 9, 2011

Is baar woh mila to ajab us ka rang tha

Is baar woh mila to ajab us ka rang tha
Alfaaz mein tarang na lehja dabang tha

Ik soch thi ke bikhri hui khaal-o-khat mein thi
ik dard tha ke jis ka shaheed ang ang tha

Ik aag thi ke raakh mein posheeda thi kahin
ik jism tha ke rooh se masroof-e-jang tha

main ne kaha ke "yaar tumhein kya hua yeh"?
usne kaha ke "umr-e-rawaan ki ataa hai yeh"

main ne kaha ke "umr rawan to sabhi ki hai"
usne kaha ke "fikr-o-nazar ki saza hai yeh"

main ne kaha ke "sochta rehta to main bhi hun"
usne kaha ke "aaina rakha hua hai yeh"

dekha to mera apna hi aks-e-jali tha woh
woh shakhs main tha aur "Himayat Ali" tha woh

No comments:

Post a Comment

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...