Nazim's poetry

Nazim's poetry

Monday, February 14, 2011

Bahut Royi Thi Mein Tanha Uss Raat

Bahut Royi Thi Mein Tanha Uss Raat,
Tere Haathon Se Jab Choote The Mere Haath,
Yaad Kiye Wo Pal Jo Bitaye The Tere Saath,
Bahut Royi Thi Mein Tanha Uss Raat,
Jane Kyun Bahut Kossa Khud Ko Uss Raat,
Khafa Tujhse Nahi Khud Se Thi Mein Uss Raat
Bahut Royi Thi Tanha Mein Uss Raat,
Kya Tujhe Bewafai Karte Hue Ek Baar
Nahi Aayi Meri Yaad,
Kaise Tu Badal Gaya Tera Dil Kaise
Badal Gaye The Halat,
Bahut Royi Thi Tanha Mein Uss Raat,
Chah Kar Bhi Tujhe Bewafa Keh Nahi Sakti,
Kuch To Wafa Nibhata Mere Wafa Ke Saath,
Bahut Royi Thi Tanha Mein Uss Raat,
Pal Pal Nihara Teri Tasveer Ko Jaise
Wo Bhi Hass Rahi
Thi Meri Kismat Pe Uss Raat,Sab Sapne
Mere Toot Gaye Kaanch Ki Tarah Uss Raat,
Bahut Royi Thi Tanha Mein Uss Raat,
Jaise Mera Dil Kar Raha Tha Tere
Beraham Dil Se Fariyad,
Ki Bass Kar Aab Aur Na Dard De Mujhe
Ki Intaha Ho Gayi Hai Aaj Raat,
Bahut Royi Thi Tanha Mein Uss Raat

No comments:

Post a Comment

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...