Nazim's poetry

Nazim's poetry

Thursday, January 27, 2011

Woh apne ghar chala gaya afsos mat karo
Itna hi us ka saath tha afsos mat karo 

Insaan apne aap main majboor hai bohat
Koi nahi hai bewafa afsos mat karo

Is baar tum ko aane main kuch dair ho gayi
Thak haar ke woh sogaya afsos mat karo 

Duniya main aur Chahne wale bhi hain bohat
Jo hona tha so hogaya afsos mat karo

Is Zindagi ke mujh pe kayi qarz hain magar
Main jald laut aoongi afsos mat karo 

Yeh dekho phir se aagayin Phoolon pe titliyan
Ek roz woh bhi aayega afsos mat karo

Woh tum se aaj door hai kal paas ayega
Phir se ALLAH milayega afsos mat karo 

Bekaar gee pe bojh liye phir rahe ho tum
Dil hai tumhara Phool sa afsos mat karo...






 

 

 

Tujhe Yakeen Na Ayega Abh Bhee,Zindgee Se Dara Nahee Hoon
Main Zakhmee Hoon Lekin Main,Zakhmon Se Bhara Nahee Hoon

Too Gar Phir Garhna Chahe Mujhe,Mere Tukre Chun Chun Kar
Reza Reza Talash Mujhee Main,Toota Hoon Bikhra Nahee Hoon

Too Jab Chahe Jahan Bhee Chahe Chor Ke Mujh Ko Ja Saktee Hai
Main Tera Hee Pyar Hoon,Pyar Hoon, Pahara Nahee Hoon

Too Mujh Ko Chah Sake Itna Main Achha Nahee Hoon
Mere Bare Main Na Soche Par Iatana Bhee Bura Nahee Hoon

Too Gar Chahe Phir Se,Aakar Mujh Main Rah Saktee Hai
Ye Theek Hai Main Soona Hoon,Soona Hoon Ujara Nahee Hoon
Mujh Main Too Rah Saktee Hai Aur Fakat Too Rah Saktee Hai
Main Kya Hoon Ek Mandir Hoon,Koyee Khalee Kamra Nahee Hoon

Too Pyar Se Rakkhe Beej Mujh Main To,Jazba Bhee Ug Jayega
Chaman Na Sahee Magar Phir Bhee Main Koyee Sahra Nahee Hoon

Too Ashkon Kee Soorat Aksar,Khayalon Main Barsee Muujh Par
Too Hairan Main Bhee Hairan Akhir Kyon Main Hara Nahee Hoon

Main Kal Teree Nigah Main Tha Aj Bhee Teree Ankhon Main Hoon
Tajmahal Hoon Jahan Hoon Wahan Hoon Banzaron Ka Dera Nahee Hoon





Pata Nahin Kaunsay Halaat Say Majboor Tha
Woh Shaks Jo Apni Chahaton Main Mashoor Tha


Woh Dil Band Dil Daar Dil Ruba Dil Nasheen
Mere Dil Ka Chain Mere Aankhon Ka Noor Tha


Mere Shanay Per Uskee Ghangoar Ghata Zulfain
Ek Waqt Main Uski Khushboo Say Makhmoor Tha


Pathar Ankhain Bejaan Wujood Majzoob Kergia
Woh Dil Nawaz Jub Mere Nigah Say Door Tha


Kub Tak Is Ujaar Dil Ko Tassallian Dun Schaa?
Mere Chahat Ke Siwa Rab Ko Kuch Manzoor Tha






Mohabbat Hum Se Karni Hai Tu Phir Wada Nahi Karna !!
Ye Wade Hum Ne Dekhen Hain Ke Aksar Toot Jate Hain !!

Mohabbat Hum Se Karni Hai Tu Phir Zid Bhi Nahi Karna !!
Ye Zid Bhi Hum Ne Dekhi Hai Ke Sathi Chhoot Jate Hain !!

Mohabbat Hum Se Karni Hai Tu Phir Tohfa Nahi Dena !!
Ye Tohfay Hum Ne Dekhen Hain Bohut Majboor Karte Hain !!

Mohabbat Hum Se Karni Hai Tu Phir Shikwa Nahi Karna !!
Ye Shikwy Hum Ne Dekhay Hain Dilon Ko Door Karte Hain !!




Mere pani mein or thora sa milao pani 
q k mien pita hon patla pani
kuch tum soch lo apne bare mien kcuh hum
q k mein pita nehi kabi tanha pani
youn daira sa bana lon tum mere ird gird
jana jo chaho tu kabi mussar na aaye mujhe gahra pani
aise saama jaon tum mere dil-o-jan mein
mein sang jaon kisi or k tu mujhe raas na aaye un ka pani
meri sansein tu amant hain tumhari inhein apna banna 
chod na jana mujhe q k bohat daraona hai raat ka pani
zara jo tum door hoye kia pata badal jaon janaa 
tumhein pata hain janaa bari zalim hai tanhai or phir pani
kuch ajeeb se lage hain mere rang un ko nazim
intazar tu hai mujhe jane wo kab aaye peene mere ghar ka pani
kia pata wo kesa hai kitna hai rangeen nazim
aa talash karay ussy pee kar har jagha ka pani...




KOI to hota mein jis k dil ki kitab banta 
main jis ki chahat ka khawab banta 
mein hijar k mausam ki lambi ratto mein 
yaad bun kur azab banta 
KOI TO HOTA 
JO MERI khwahisho mein uth k rato ko khob rota 
dukhon ki chadder lapait kur 
hajum-e- duniya se door hota 
mein roth jata manata mujh ko 
k chahe mera qasoor hota 
KOI TO HOTA 
mein jis k itna qareeb hota 
na pass koi raqeeb hota 
mein tanha uska naseeb hota 
yeh silsila bhi ajeeb hota 
KOI TO HOTA 
KOI TO HOTA..................................



 

No comments:

Post a Comment

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...