Nazim's poetry

Nazim's poetry

Friday, January 28, 2011

Tootay Huey Khawaboo Mein Haqeeqat Dhoondta Hon


Tootay Huey Khawaboo Mein Haqeeqat Dhoondta Hoon
Pathar Ke Diloo Mein Mohabbat Dhoondta Hoon
Naadan Hon Mein Ab Tak Yeah Bhi Nahe Samjha
Bejan Buttoon Mein Ibadat Dhoondta Hoon
Mere Jazbatoo Ke Keemat Yahan Kuch Bhe Nahe
Bey Eemani Kay Bazaroon Main Sharafat Dhoondta Hon
Umeed Ki Thi PYAR Ki Bas Yehi Bhool Thi
Mujh Deewanay Ke
Girtay Huay Ashkoo Mein Apni Hasrat Dhoondta Hoon....









Ajnabi c Raho Ka Ek Ajnabi Musafir......
ajnabi ajnabi si rahon ka ek ajnabi musafir ....
mujh se pooch betha hai ...
rasta bata doge ????
ajnabi ajnabi si rahon ke ..
ajnabi musafir sun!!!!
rasta koi bhi ho ...
wasta koi bhi ho ...
manzilein nahi miltiiin ....
manzilein to dhoka hein ..
manzilein jo mil jaein ..
justujoo nahi rehti ..
zindagi ko jeene ki arzoo nahi rehti












Aik baar ker k aitbaar likh do
Kitna hai mujh se pyar likh do


Kat'ti nahi ye zindgi ab binn tere
Kitna karon aur intzaar likh do


Taras rahe hain hum bari Muddatt se
Iss bar apni muhabbat ka izhaar likh do


Deewane ho jayen jisse perh k hum
Kuch aisa tum mere yaar likh do


Zyada nhi likh saktey to mat likho Magar!
Muhabbat bharey Lafz Do, Chaar likh do


Aik baar likho Muhabbat hai mujhe tum se
Phir ye he jumla tum baar baar likh do













KYA LIKHUN MAI AAJ YAAD ME TERI, 
KYA MAANGU MAI AAJ FARYAAD ME MERI. 


CHAHTA TO BAHUT KUCH HUN KHUDA SE MERE, 
LEKIN KASHMA KASH ME HAI ZINDAGI YE MERI. 


JAB DEKHA PEHLI BAAR TUJHE TO DIL SE YE FARYAAD NIKLI,
PAAUNGA TO SIRF TUJHE WARNA AE KHUDA YE MERI JAAN HAI TERI.


YAARON NE KAHA YE KYA KIYA TUNE SAATH ME MAANGI MAUT APNI,
MAINE KAHA MERE SAATH TO KHUDA HAI WO ZAROOR BANEGE MERI.


LEKIN DHEERE DHEERE WO MUJH SE DOOR HONE LAGI,
MAINE SAMJHA HOGI USKI BHI KOI MAJBOORI. 


IDHAR MAI BE KHABAR USKE INTZAAR ME BAITHA, 
MAJBURI ME WO TADAP RAHI THI JUDAI ME MERI. 


LEKIN WO THI BEKHABAR MERI US FARYAAD SE, 
JAB HUI KHABAR TO RONE LAGI YAAD ME MERI. 


AE KHUDA TARAS KHAA HUM DONO KE HAALAAT PAR, 
KAR WO JO TUJHE HO MANZOOR, 


BAS YEHI DUA HAI TUJH SE MERI…………!










Har Baar Apni Zid Ko Roka Hai Meine
Aapni Har Aadat Ko Badla Hai Meine
Phir Bhi Woh Waise Hi Apne Dil Ko Dabaye Bethe Hai
Bahut Baar Un Ke Dil Ko Un Se Maang Ke Dekha Hai Meine

Ansoo Baha Kar Dekhe Hai Meine
Apni Har Khawaish Ko Daba Kar Dekha Hai Meine
Aa Kar Mere Passs Bhi Woh Dooor Hi Rehte Hai
Un Ko Apne Gale Se Bhi Laga Kar Dekha Hai Meine

Haatho Ki Lakheero Ko Miitaa Kar Dekha Hai Meine
Kaanch Ki Chuddiyon Ko Kankha Ke Dekha Hai Meine
Woh Kabhi Bhi Sunte Nahi Mere Jazbaato Ko
Apni Aankho Se Dil Ki Baat Samjha Kar Dekha Hai Meine

Har Aahat Se Bacha Kar Dekha Hai Meine
Un Ki Har Baat Ko Seene Se Laga Kar Dekha Hai Meine
Woh Kabhi Mere Nahi Hue
Is Baaat Ko Khudha Ko Bata Kar Dekha Hai Meine

Lamha Lamha Un Ki Yaad Mein Guzara Meine
Apna Wajoood Ko Un Mein Basaya Meine
Woh Mujh Se Judaa Ho Kar Chala Gaya Door
Har Pal Us Ko Khawaabo Mein Bulaya Meine












Woh pani ki lehron per kia likh raha tha


Khuda janay, harf e dua likh raha tha


Likha jis nay navel wafa ka adhora


wohi, payar ki intaha likh raha tha


Bhala kartay kartay guzri jawani,


Magar phir bhi khud ko bura likh raha tha


Muhabat mein nafrat mili thi usay bhi


Jo her shakhs ko bewafa likh raha tha


Woh zara us ki ankhon se anso naa niklay


woh jis waqt lafz saza likh raha tha


Namaz e muhabbat mein woh apnay,


Hoey thai jo sajde, qaza likh raha tha






woh pani ki lehron pe kia likh raha tha


faqat apnay sajde qaza likh raha tha....













Khuda jane tumhare zehan mein kya hai?
Mere bare mein tum kya sochtee ho keh nahi sakta
Magar mein is liye milne se katrata hoon tum se

Ke voh batein ju ham likhte hain apne khat mein chahat se
Vuh batein aur batein hain
Vuh batein aisee batein hain ke bas batein hee batein hain
Haqeeqat mukhtalif hai aisee batoon se
Haqeeqat munkashif hotee nahi alfaaz likhne se
Zabani guftagu se bahamee izhaar-o-arz haal karne se
Bohat see aisee batein hain
Jinhein sunn ne ko kanoo kee nahi aankho kee haajat hai
Agar tum mujh se milne par bohat israar kartee ho…
Phir ek shart hai!

Ek lafz bhee kehna na hontoon se
Faqat aankho se aankhein guftagu kartee rahein gee
Khilaa apne sawaloon ka
In aankhon kee sadaaein khud ba khud bhartee rahein gee
Agar milna zaroori hai
Tu chotee se meree yeh shart apne zehan mein rakhna!




















Such nights have also passed
when your memory did not flare,
pain quivered in the heart
but no complaint to share.

Every sin appears to the fore
like dark rocks in a row,
there is neither a plea to break the rocks,
nor seek release, not move to go.

Such nights have also passed
when on your ways, everywhere
there were shadows, here and there,
leaping up and down,
down and up.
You weren’t there, there were shadows like you,
shadows in dance all about,
I wasn’ there, there were shadows like me,
shadows in termor,
shadows and shadows, shadows of pathways.

Such nights have also passed
when your memory did not flare.











Raaz ki baatain likhi aur khat khula rehnay diya,
Jaanay kyon ruswaiyon ka silsila rehne diya !

Umar bhar meray saath reh kar woh na samjha dil ki baat,
Do dilon kay darmiyan ik faasla rehne diya !

Apni fitrat woh badal paya na iskay bawajood,
Khatam ki ranjish magar gila rehne diya !

Main samjhta tha khushi dega mujhay `saber-e- fareb,
Isliyey mainay ghamon say raabta rehne diya !

Raaz ki baatain likhi aur khat khula rehne diya,
Jaanay kyon ruswyaion ka silsila rehne diya !













mujhe likhne ki kwahish hai
magar lkha nahen jata
mere alfaz dil ki aahanai dewar se sar phorte hain
aur inhen izhaar ka rasta nahen milta
meri ankhen jinhen dil mein chupe jazbat ko askhon ki boli mein
'bata dene pe qudrat thee
wo ab kuch bhi nahen kehten
! mere ye lab
jo dil ki an kahi baton ko kehne se nahen darte thai
wo lab kuch bhi nahen kehte
! meri ye ungliyan
jo dil mein chupe jazbat ko izhar ka rasta batati theen
wo an kuch bhi nahen likhten
meri ankhen, ye lab, meri ungliyan mujh se kehte hain
ke ab jazbat ko izhar ka rasta nahen dena
ke moo zoor hote hain
faqat rasta ke milne se
inhen manzil talak jane ki hajat hi nahen rehti
nayee raste pe jate hain
nahyee rahen banate hain
magar phir wapsii ke sab nishan bhool jate hain
inhen rasta nahen dena
! inhen tum dil mein rehne do
wagarna khoon rulayen ge
inhen rasta nahen dena
!inhen tum dil mein rehne do
mujhe likhne ki khwahish hai














Gham Mairey Phir Zabt Maira Aazmaaney Aa Gaye
Ashk Kuch Rishtey Puraney Phir Nibhaaney Aa Gaye

Baat Hum Ne Ki Jo Rasman Bhi Haseeno Say Kabhi
Log Daikhiye Tohmatein Hum Par Lagaaney Aa Gaye

Aainey Mein Apna Chehra Tum Ne Daikha Hi Nahin
Ungliyaan Kyun Apni Auron Par Uthaaney Aa Gaye?

Iss Qadar Bhi Log Hain Be-reham Socha Bhi Na Tha
Zulm Kar Ke Zakhm Par Nishtar Chalaaney Aa Gaye

Zindagi Bhar To Nahin Ki Qadar Mairey Pyar Ki
Mar Gaya To Qabar Par Shamein Jalaaney Aa Gaye

Shaakh-E-Dil Say Phool Ban Kar Dard Ki Phooti Ghazal
Phir Lo Ahl-E-Bazm Tareefein Lutaaney Aa Gaye

Jab Kabhi Khoon-E-Jigar Say Mainey Likhi Hai Ghazal
Hum Nasheen Mairey Sabhi Bass Muskuraaney Aa Gaye

Ilm Hum Ko Jab Huwa Gham Apna Hai Unn Ki Khushi
Muskura Kar Hum Tabhi Phir Zakhm Khaaney Aa Gaye

Laakh Chaaha Hum Ne Rukh Yaadon Say Teri Morrna
Beetey Kuch Be-rehm Lamey Dil Dukhaaney Aa Gaye

Hum Ne Daikhi Hi Nahin Aangan Mein Aisi Bhi Fiza
Tum Jo Aaye Yoon Laga Mosam Sohaaney Aa Gaye

Haan Magar Apney Muqadar Mein Ye Mosam Hi Na Tha
Tum Gaye, Din Zard Pat Jharr Ke Puraaney Aa Gaye

Yoon Rahey Apney Maraasim Haadson Say Umar bhar
Chaaha Dil, Khoon-E-Jigar Maira Bahaaney Aa Gaye













Chaha To Buhat Tha Lakin Wo Mila Hi Nahi
Lakh Koshish Ki Lakin Yeh Fasla Mita Hi Nahi


Na Jany Zamany Ne Majbor Is Qadar Kardiya
Key Wo Meri Kisi Sada Pe Tehra Hi Nahi


Main Tamam Tarr Koshishon K Bawajod HaaR Gaya
Wo Ussey Mil Gaye Jisne Ussey Manga Hi Nahi


Her Ek Se Pocha Tere Na Milny Ka Sabab
Her Ek Ne Kaha Wo Tere Liyeh Bana Hi Nahi


Itni Shiddat Se Chaha Tha Usko
Is Duniya Main Shayad Wafa Ka Sila Hi Nahi















Galli Main Dard Ke Purzey Talash Karti thi
Mere Khatoot ke Tukrrey Talash Karti Thi


Bholaye Koun Azeeat Pasandiyan Usski
Khushi Ke Dhair Main Sadmey Talash Karti Thi


Ajab Hijer Parasti Thi Uski Fitrat Main
Shajar Ke Toot-Te Pattey Talash Karti Thi


Qayyam Karti Thi Wo Mujh Main Soofiyon Ki Tarhan
Udass Rooh Ke Goshay Talash Karti Thi


Tamam Raat Wo Parday Hata Ke Chand Ke Saath
Jo Kho Gaye Thay Wo Lamhey Talash Karti Thi


Kuch Iss Liye Bhi Mere Ghar Se Uss Ko Thi Vehshat
Yahan Bhi Apne Hi Payarey Talash Karti Thi


Ghuma Phira Ke Judai Ki Baat Karti Thi
Hamesha Hijer Ke Harbey Talash Karti Thi


Tamam Raat Wo Zakhma Ke Apni Pooron Ko
Mere Wajood Ke Raaz Talash Karti Thi


Duaayeen Karti Thi Ujrrey Huway Mazaron Per
Bari Ajeeb Sahare Talash Karti Thi....











sabkuchh hai mere paas fir bhi akela hoon main,
khatm ho gayi sari pyaas fir bhi akela hoon main.,
zindagi ki jaddo jahad se ladkar jeete hai hum,
mehfil ki roushni to hai fir bhi akela hoon main.,

bachpan ke natkhat din ab yaad hi nahi mujhe,
ki koi dost hamara bhi raha hoga ush waqt.,
akele hi tanhaiyo me batein kiye hai khuda se,
aaj rehmat hai khuda ki fir bhi akela hoon main.,

ek ajnabi halaat-e-manjar se meri zindagi ujad gayi,
bahut chhota tha mai jab meri maa duniya chhod gayi.,
uski yaado ki tapish har pal mujhe roushni deti hai,
uska hath hai mere sar pe magar haqiqat me fir bhi akela hoon main.,

apne maa baap ka saya to dekha hi nahi apne aankho se,
puchhta hu aaj bhi kyo di hume ye saza khuda ne.,
kya itna bada gunah tha mera ke chhod diya mujhe sabne,
jahan me daulat hai sohrat hai fir bhi akela hoon main.,

jab naraj hota hoon to koi manane wala nahi hai,
jab khush hota hoon to koi jatane wala nahi hai.,
kab tak ish duniya me mar-mar kar jeete rahenge hum,
bhej de mere maula kisi ko bahut akela hoon main.,

intezar hai uska ki koi hamare paas bhi aayega,
mere khuda ki nazre-inayat mujhpe bhi kabhi hogi.,
zindagi se sabkuchh jeete baithe hai bas teri kami hai.,
bhej de mere maula kisi ko bahut akela hoon main.,
********BAHUT AKELA HOON MAIN********













                                                                                      Tassavur mein zaroor aao

                                                                                     Magar tairna tau seekho

                                                                                     Tum aksar doob jaatay ho

                                                                                     Mere ashkoon ke paani mein ...












Mujhey Har Roz Kehti Hey

Bataao Kuch Naya Likha?

Kabhi Uss Se Yeh Kehta HooN

Ke Mein Ne Nazam Likhi Hey

Magar Unwaan Dena Hey

Bohat Betaab Hoti Hey

Woh Kehti Hey

Sunaao! Mein Isse Acha Sa Unwaan Deti Houn

Woh Meri Nazam Sunti Hey

Aur Uss Ki Bolti Ankhein

Kissi Misrey, Kissi Tashbih Per

Youn Muskarati Hein Ke…

Mujhey Lafzoun Se Kirnein Phoot-ti Mehsoos Hoti Hein

Phir Woh Iss Nazam Ko Aik Acha Sa

Unwaan Deti Hey…Aur

Aakhri Misrey Ke Neechey

Ek Adaai-e-Beniazi Se

Woh Apna Naam Likhti Hey

Mein Kehta Houn

Suno! Yeh Nazam Meri Hey

Tum Ne Apney Naam Se Kyun Mansoob Kar li Hey

Meri Baat Sun Kar Uss Ki Aankhein Muskarati Hein

Woh Kehti Hey,

Suno! Saada Sa Rishta Hey

Ke Jesey Tum Merey Ho..

Iss Tarah Ye Nazam Meri Hey

Ajab Pagli Si Larki Hey…















                                                                              Dhundta Phirtaa Hoon Mein
                                                                             Logon Mein Shabahat Uss Ki
                                                                             Ke Woh Khawaabon Mein Bhi
                                                                               Lagti Hai Khayaalon Jaisi....









Hum se yon na mila karo aey tanhayee
Shayad hai itni kurbat mein ruswayee


Tanha behta baatein kerta hoon
Tanha hoon magar saath hai tanhayee


Behta rehta hoon saath us ke batein kerte
Ke kabhi apni si lagti hai tanhayee


Hum se yon na mila karo aey tanhayee
Shayad hai itni kurbat mein ruswayee


Waqt guzerte maloom nahi hota
Batein kerte kerte sula deti hai tanhayee


Hansta rehta hoon saath us ke
Ke hanstii hai tanha dekh ker meri tanhayee


Kuch kehti nahi mere bare mein
Bina kahe kuch keh jaati hai meri tanhayee


Tanha behte baatein kerta hoon
Tanha hoon magar saath hai tanhayee


Hum se yon na mila karo aey tanhayee
Shayad hai itni kurbat mein ruswayee






No comments:

Post a Comment

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...