Nazim's poetry

Nazim's poetry

Saturday, January 29, 2011

Apnay ehsaas se cho ker mujhay sundal ker do

Apnay ehsaas se cho ker mujhay sundal ker do 
main k sadion se adhoora hon mukamal ker do
na tumhain hosh rahay na mujhay hosh rahay
is qadar toot ker chaho mujhay pagal ker do

meri hatheli ko apnay piyar ki mehndi se rango
meri ankhon main apnay piyar ka kajal bher do
dhoop hi dhoop hon main, toot ker berso mujh per
is qadar berso meri rooh ko jal thal ker do
tum chupa lo mera dil, oat main apnay dil ki
or mujhay meri nigahon se bhi ojhal ker do
masla ho tu nigahain na churao mujh se 
apni chahat se, tawaja se mujhay hal ker do
apnay gham ko kaho her waqt mere saath rahain
ik ehsaan kero, is ko musalsal ker do

mujh pe chah jao kisi aag ki soorat janan
or meri zaat ko sookha howa jangal ker do...

No comments:

Post a Comment

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...