Nazim's poetry

Nazim's poetry

Monday, January 31, 2011

Paa Ker Bhi Uss Ka Saath, Aaj Kyon Akela Hoon?

Paa Ker Bhi Uss Ka Saath, Aaj Kyon Akela Hoon?
Tha Wada Janam Ka Phir, Aaj Kyon Akela Hoon?
Khushiyoon K Din Guzray Thay Khoob Saath
Dukh Uthanay Ko Main Aaj Kyon Akela Hoon?
Har Rukh-E-Safar Mein Basi Teri Hansi Ki Goonj
Pochti Hain Woh Rahayen, Aaj Kyon Akela Hoon?
Sargoshiyan Lehroon Ki Aur Dour Khamosh Sahil
Pochay Woh Ghar Mitti Ka, Aaj Kyon Akela Hoon?
Seha Raha Hay Ilzaam Sur Jhukaye Woh Darkht
Naam Tu Hay Duno Ka Phir, Aaj Kyon Akela Hoon?
Kaliyaan Hain Murjhaayi Aur Pholoon Ko Justaju
Ban K Anso Shabnam Poche, Aaj Kyon Akela Hoon?
Mehfil Mein Teri Aaj Bhi Yoh Rehta Hay Mera Zikar
Sabk Lub Pe Ban Ker Sawal, Aaj Kyon Akela Hoon?
Qasmay Waday Tu Thay Aman,Sath Jeene Marnay K
Maut Bhi Pochti Hay Aa K Yeh, Aaj Kyon Akela Hoon?

Aah Bhar To Sakta Hoon, Magar Dard Ko Dabaaye Ja Raha Hoon

Aah Bhar To Sakta Hoon, Magar Dard Ko Dabaaye Ja Raha Hoon
Yun Saath Rahna Koi Rivaayat To Nahin, Phir Bhi Nibhaaye Ja Raha Hoon
Lahoo Jigar Ka Samajh Ke Mein, Har Mehafil Me Peeye Ja Raha Hoon
Yun Haseen Aur Bhi Hain Zamaane Me,
Na Jaane Kyon Me Tera Hi Naam Liye Ja Raha Hoon

Chal To Raha Hoon Magar Manzil Nahin

Chal To Raha Hoon Magar Manzil Nahin,
Ji To Raha Hoon Magar Mehbooba Nahin
Ga To Raha Hoon Magar Dhun Koi Nahin,
Use Khoj To Raha Hoon Magar Milti Nahin
Dil To Dhadakta Hai Magar Dhadkan Nahin,
Kab Se Intezar Kar Raha Hoon Saamne Aati Nahin
So To Jata Hoon Magar Khawab Koi Nahin,
Is Bahaar Mein Ek Phool Tak Mere Liye Nahin
Sansen To Le Raha Hoon Magar Kisiki Mehak Nahin,
Kab Se Dil Thame Bethe Hain Koi Khabar Hi Nahin
Soch To Rahe Hain Magar Vichar Koi Nahin,
Is Pure Alam Mein Jitender Ke Liye Ek Hasina Nahin

Mera Safar,Thamma Nahin Abhi.

Mera Safar,Thamma Nahin Abhi.
Manzil Ki Talaash, Main Hoon Abhi.
Mera Saaya,Thakka Nahin Abhi.
Karwaan Bichad Gaya Tha,Jo Mila Nahin Abhi.
Main Akele Hi Chali Hoon, Humsafar Mila Nahin Abhi.
Barson Se Aasmaan Ko Niharte Hain, Koi Sitara Toota Nahin Abhi.
Taqdeer Badal Jayegi, Wo Din Aaya Nahin Abhi.
Sawal Kiya Tha Unse Barso Pehle, Jawab Aaya Nahin Abhi.
Haath Se Paimaana,Chodna Nahin Abhi.
Thaame Rahenge Isse,Kyonki,Dil Ka Sheesha Toota Nahin Abhi.
Intezar Mein Bethe Hain Unki,
Shayad, Unhe Mera Khayal Aaya Nahin Abhi.

Mera Safar,Thamma Nahin Abhi.

Mera Safar,Thamma Nahin Abhi.
Manzil Ki Talaash, Main Hoon Abhi.
Mera Saaya,Thakka Nahin Abhi.
Karwaan Bichad Gaya Tha,Jo Mila Nahin Abhi.
Main Akele Hi Chali Hoon, Humsafar Mila Nahin Abhi.
Barson Se Aasmaan Ko Niharte Hain, Koi Sitara Toota Nahin Abhi.
Taqdeer Badal Jayegi, Wo Din Aaya Nahin Abhi.
Sawal Kiya Tha Unse Barso Pehle, Jawab Aaya Nahin Abhi.
Haath Se Paimaana,Chodna Nahin Abhi.
Thaame Rahenge Isse,Kyonki,Dil Ka Sheesha Toota Nahin Abhi.
Intezar Mein Bethe Hain Unki,
Shayad, Unhe Mera Khayal Aaya Nahin Abhi.

Abhi Abhi Tum Dost Bane Ho

Abhi Abhi Tum Dost Bane Ho
Dil Ki Keetab Ka
Pehla Safa Bane Ho
Dhoop Se Chhaaya Bane Ho
Thaam Lo Haath Mera
Safar Ke Ab Saathi Bane Ho

Abhi Abhi Tum Dost Bane Ho

Abhi Abhi Tum Dost Bane Ho
Dil Ki Keetab Ka
Pehla Safa Bane Ho
Dhoop Se Chhaaya Bane Ho
Thaam Lo Haath Mera
Safar Ke Ab Saathi Bane Ho

naam mera leetay huye abb wo darta hai nazim

naam mera leetay huye abb wo darta hai nazim
jo pal pal kehta tha mere pass kuch ni hai tere naam ke siwa

Khwabon Ko Asliat Mein Dekhna Abhi Baqi Hai

Khwabon Ko Asliat Mein Dekhna Abhi Baqi Hai
Zakhm-E-Dil-O-Tanhai Aazamana Abhi Baqi Hai
Parda To Abhi Utha Hi Nahi Barkhudar,
Aasman Se Bijli To, Abhi Girna Baqi Hai
Nazaron Se Sawalon Ki Bauchar Abhi Baqi Hai
Jawab Dene Ki Mahirat Ki Imtihan Abhi Baqi Hai
Jhuken Chahey Unki Ya Tumhari Nazar,
Ek Ranjish Bhari Kayaamat Aani Abhi Baqi Hai
Anaginat Masti Ke Jalwe Abhi Baqi Hai
Husn-Parasti Ka Sabaq Seekhna Abhi Baqi Hai
Ginana To Hai Har Haal Mein – Kitne,
Bit Gaye Din Kitne Guzaarnaa Baqi Hai
Kya Naseehat Dun Mere Dost, Kuch Bhi Nahin Baqi Hai
Phir Na Kehna Duniyadari Ab Kya Dekhna Baqi Hai
Armaan Ashkon Mein Ghul Gaye, Dil Bikhar Kar Chur ‘Satish’
Murda To Hum Kabke Bane, Faatiyaa Padhnaa Baqi Hai

Khwabon Ko Asliat Mein Dekhna Abhi Baqi Hai

Khwabon Ko Asliat Mein Dekhna Abhi Baqi Hai
Zakhm-E-Dil-O-Tanhai Aazamana Abhi Baqi Hai
Parda To Abhi Utha Hi Nahi Barkhudar,
Aasman Se Bijli To, Abhi Girna Baqi Hai
Nazaron Se Sawalon Ki Bauchar Abhi Baqi Hai
Jawab Dene Ki Mahirat Ki Imtihan Abhi Baqi Hai
Jhuken Chahey Unki Ya Tumhari Nazar,
Ek Ranjish Bhari Kayaamat Aani Abhi Baqi Hai
Anaginat Masti Ke Jalwe Abhi Baqi Hai
Husn-Parasti Ka Sabaq Seekhna Abhi Baqi Hai
Ginana To Hai Har Haal Mein – Kitne,
Bit Gaye Din Kitne Guzaarnaa Baqi Hai
Kya Naseehat Dun Mere Dost, Kuch Bhi Nahin Baqi Hai
Phir Na Kehna Duniyadari Ab Kya Dekhna Baqi Hai
Armaan Ashkon Mein Ghul Gaye, Dil Bikhar Kar Chur ‘Satish’
Murda To Hum Kabke Bane, Faatiyaa Padhnaa Baqi Hai

bana kar wo chod gia dost mujhe

bana kar wo chod gia dost mujhe
ab kehta phirta hai mujhe tum se mohabbat bohat thi

Aaj jane kyu Maine Phir tumhe yaad kAr liyA...

Aaj jane kyu Maine Phir tumhe yaad kAr liyA...
Phir is Dil me laGe Ghave ko tAza kAr liyA....
Pata he ki tum lauth kar nahi aaoge fir bhi aas lagaye betha hoO...
Kabi tumhari ek jhalak fir se mil jaye,isliye palke bichaye betha hoO...

Na laga jaye koi tum par mujhe dukh pahuchane ka aroP,,,,,
Is liye is viran cahere par ek muskhurath ka fool khilaye betha hoo....
Aab to koi fool bhi todne ka kahe to kapp jata hoo main...
Bas itna bata do kya tumhe bhi yaad aata hoo main..

Galti tumhari nahi jo tum bin bataye mujhe yu tanha chore gayE...
Leki ye humari kamjori thi jo tumhe jata huva dekh kar bhi kuch na kar sakE
Shayad humne hi kisi taraha tumhe dukh pahuchaya jo hum tanha ho gayE...
Hum hi vo ek badnasib the jo yaha lakho ki bhid main kahi kho gayE...

Bas ab aur jeene ki tamanna baki naa rai is dil maiN...
Aab aur gaam sahene ki takat baki na rahi is dil maiN...
Kuch yaado ke ashiyane he jinke sahare ji raha hoO...
Kuch apne aur kuch begane he jinke liye ji raha hoO...

Dukh is baat ka nahi ki hum tumhe paa na sakE...
Magar taklif is baat ki hai ki hum tumhari yaado ko bhula na sakE....
Zindgi main ek din to ayega , jab ye masum dil sukun payegA....
Lekin shayad vo din tabhi ayaga jab ye musafir is zahan se chala jayegA...

Koi dukh nahi hota agar ajj bhi tum humara dostana barkarar rakhtE......
Aaj bhi vahi manzar hota , jab bhi hum tumhe yaa tum hume dekhte to muskuratE....
Koi shikva na hoti koi gila na hota, agar tu is zindgi ke safar main mila na hotA..
Main to tanha hi aaya tha is duniya mai,fir tanha jane me kaisa gaam hotA.......

Kher jo hona tha vo ho chuka hai..., ye dil apni ek jarurat kho chuka haI....
khubh roya hoo tere liye main ... ye sab tujhe batane se kya faydA..
Pahele hi bahut dukhi hoo.. ye sab tujhe bata kar tujhe dukh pahuchane se kya fayadA...

Bas itni guzarish hai aainda se kisi aur ke sath aisa na karnA.....
Hum to jhel gaye is dard ko koi aur naa jhel payegA.......
Humne to apna saab kuch kho diya hai,,shayad tumhe kal koi aur mil jayegA......

Aaj jane kyu Maine Phir tumhe yaad kAr liyA...

Aaj jane kyu Maine Phir tumhe yaad kAr liyA...
Phir is Dil me laGe Ghave ko tAza kAr liyA....
Pata he ki tum lauth kar nahi aaoge fir bhi aas lagaye betha hoO...
Kabi tumhari ek jhalak fir se mil jaye,isliye palke bichaye betha hoO...

Na laga jaye koi tum par mujhe dukh pahuchane ka aroP,,,,,
Is liye is viran cahere par ek muskhurath ka fool khilaye betha hoo....
Aab to koi fool bhi todne ka kahe to kapp jata hoo main...
Bas itna bata do kya tumhe bhi yaad aata hoo main..

Galti tumhari nahi jo tum bin bataye mujhe yu tanha chore gayE...
Leki ye humari kamjori thi jo tumhe jata huva dekh kar bhi kuch na kar sakE
Shayad humne hi kisi taraha tumhe dukh pahuchaya jo hum tanha ho gayE...
Hum hi vo ek badnasib the jo yaha lakho ki bhid main kahi kho gayE...

Bas ab aur jeene ki tamanna baki naa rai is dil maiN...
Aab aur gaam sahene ki takat baki na rahi is dil maiN...
Kuch yaado ke ashiyane he jinke sahare ji raha hoO...
Kuch apne aur kuch begane he jinke liye ji raha hoO...

Dukh is baat ka nahi ki hum tumhe paa na sakE...
Magar taklif is baat ki hai ki hum tumhari yaado ko bhula na sakE....
Zindgi main ek din to ayega , jab ye masum dil sukun payegA....
Lekin shayad vo din tabhi ayaga jab ye musafir is zahan se chala jayegA...

Koi dukh nahi hota agar ajj bhi tum humara dostana barkarar rakhtE......
Aaj bhi vahi manzar hota , jab bhi hum tumhe yaa tum hume dekhte to muskuratE....
Koi shikva na hoti koi gila na hota, agar tu is zindgi ke safar main mila na hotA..
Main to tanha hi aaya tha is duniya mai,fir tanha jane me kaisa gaam hotA.......

Kher jo hona tha vo ho chuka hai..., ye dil apni ek jarurat kho chuka haI....
khubh roya hoo tere liye main ... ye sab tujhe batane se kya faydA..
Pahele hi bahut dukhi hoo.. ye sab tujhe bata kar tujhe dukh pahuchane se kya fayadA...

Bas itni guzarish hai aainda se kisi aur ke sath aisa na karnA.....
Hum to jhel gaye is dard ko koi aur naa jhel payegA.......
Humne to apna saab kuch kho diya hai,,shayad tumhe kal koi aur mil jayegA......

Yeh dhup kinara shaam dhalen,

Yeh dhup kinara shaam dhalen,
Milte hain dono waqt jahan,
Jo raat na din, jo aaj na kal,
pal bhar ko amar, pal bhar mein dhuaan
Is dhup kinaare pal do pal.
Hothon ki lapak
Baahon ki khanak
Yah mel hamaara jhooth na sach
Kyon raar karen, kyon dosh dharen
kis kaaran jhoothi baat karen
Jab teri samandar aankhon mein
Is shaam ka suraj dubega
Sukh soyenge ghar dar waale
Aur raahi apni raah lega.

tere gam ko jan k talash thi tere jan-nisar chale gaye

tere gam ko jan k talash thi tere jan-nisar chale gaye
teri rah main karte the sar talab sar-e-rah-guzar chale gaye


teri kaj-adai se har k shab-e-intazar chali gai
mere zabt-e-hal se ruth kar mere gam-gusar chale gaye

na sawal-e-wasl na arz-e-gam na hikayaten na shikayaten
tere ahad main dil-e-zar k sabhi ikhtiyar chale gaye

ye hamin the jin k libas par sr-e-rah siyahi likhi gai
yahi dag the jo saja k ham sar-e-bazm-eyar chale gaye

na raha junun-e-rukh-e-wafa ye rasan ye dar karoge kya
jinhen jurm-e-ishq pe naz tha wo gunahagar chale gaye

Terii ummiid tera intazaar jab se hai

Terii ummiid tera intazaar jab se hai
Na shab ko din se shikayat na din ko shab se hai

Kisii kaa dard ho,karate hain tere naam raqam
Gilaa hai jo bhii kisii se terii sabab se hai


Huaa hai jab se dil-e-naa-sabar beqaabuu
Kalaam tujhse nazar ko barii adab se hai


Agar sharar hai to bharake, jo phuul hai to khile
Tarah tarah kii talab tere rang-e-lab se hai


Kahaan gaye shab-e-furqat ke jaagne vaale
Sitaaraa-e-sahar ham-kalaam kab se hai


Nahin nigaah mein manzil to justuju hi sahi

Nahin nigaah mein manzil to justuju hi sahi
Nahin visaal mayassar to aarzoo hi sahi

Na tan mein khoon faraham na ashk aankhon mein
Namaaz-e-shauq to wajib hai be-wazu hi sahi


Kisi tarah to jam-e-bazm maikade walo
Nahin jo baadaa-o-sagar to haa-o-hoo hi sahi


Gar intezar kathin hai to jab talak aye dil
Kisi ke vada-e-farda ki guftagu hi sahi


Dayaar-e-gair mein maharam agar nahin koi
To 'Faiz' zikr-e-watan apne ru ba ru hi sahi

Hasrat hai Teri Deed karain,

Hasrat hai Teri Deed karain,
TUM AAO TO HUM BI EID KARAIN,

Kuch dair to Dil ko chain mile,
Kuch Rooz to Mann ka Phool khilay,

Kehte hain EID ki aamad hai,
Hum loog bi kuch Ta'eed karain,

TUM AAO TO HUM BI EID KARAIN,

Tum se aik Guzarish hai,
Ye apne Dil ki Khwahish hai,

Ek baar milo; Ek baar milo,
Har baar yehi takeed karain,

TUM AAO TO HUM BI EID KARAIN,

Mana ke Hum Deewane hain,
Sab Baaton se Anjanay hain,

Jab APNE hi Beganay hain,
To Kya Gheron se UMEED karain,

TUM AAO TO HUM BI EID KARAIN....

mere zehan ko jo nai qabool wahi log hain mere hamsafr

mere zehan ko jo nai qabool wahi log hain mere hamsafr
mjhe har tarhan se jo raaz thy wohi log mjhse bechar gaye....

Koi Pochay Badnaseebi Ki Hai Intihaa Bi Koi

Nehi masrof main itna

Ankhon Mein Puttliyon ki Tarha Jamm Ke Reh Gia Wo

Kabhi Khawabon Ki Tarha Ankhon ke Parday Mein Reho

Aaj kiya zikr kisi Ne jo TumHara

Aaj kiya zikr kisi Ne jo TumHara
Halkey Halkey Say phir Tum YaaD Anay Lagay

Main Purani Baaton kay samander Main DooBney laga
Dil Main Ek Baar phir Tum utarnay lagay

palkoon kay Darwaazey ko BanD kiya main Nay
Aur Ansoo Ban k Tum Aankhoon Say Behnay Lagay

BeBasi itni k Mare Haath uth Gay
DoBara ALLAH Say Tumhian Mangnay Lagay

zikr Tumhara sun ker Ek Baar phir
Mare jazBaat Tumhari Tamana kernay lagay

Bana k Tasveer Teri Mare zehn Main
Mare Tootey Armaan Rooney lagay

Paa k TumHian khwaaBoon Main Hum
jaag k phir Tumhian khooney lagay

Waada chahta hoon TakDeer sey Yeh
k BaDal Dey woh jo Honay lagay


yoon hi batoon hi batoon main

yoon hi batoon hi batoon main 
mujhe us nay bataya tha 
mohabat kernay walay pyar main dhoka nahi kertay 
koi jab baat kerta hoo usay tooka nahi kertay 
jisay janay ki jaldi ho usay rooka nahi kertay 
yoon hi batoon hi batoon main 
mujhe ab yaad aaya hai 
usay janay ki jaldi thi



Imagine the woods,

Imagine the woods,
Without a tree,
Imagine the rivers,
Without the sea,
Imagine yourself,
Without me,
Imagine how lost,
I would be.


With U I Can See Things Clearly .......

With U I Can See Things Clearly .......I Know My Way Very Well ......I Know That The Road Is Long ,Dark Deep And Impossible, However, I Don't Be Lazy Cuz I Know That In End of the Road I Will Find U Waiting For Me ..........


if You like someone, Show it. It will be sweeter than Telling.

if You like someone, Show it. It will be sweeter than Telling.
But If You don’t like someone, Just Tell it. It will be less painful than Showing it …


Pathar he sahi, raah mein hayal tu rahoon ga

Pathar he sahi, raah mein hayal tu rahoon ga
Kuch dair taira mud'e muqabal tu rahoon ga

Jab tuk tairi bakhshish ka bahram khul nahi jata
Aye mairay sakhee, mein taira sayaal tu rahoon ga

Iss wastay zinda hoon sar maqtal e yaraan
Wabasta e kam zarfi e qatal tu rahoon ga

aye taiz hawa maira dhowaan daikh kay jana
Bujh kar bhi nishaan e rah e manzil tu rahoon ga..!

Dushman he sahi naam tu lay ga maira tu bhi
Youn mein tairi awaaz mein shamil tu rahoon ga


Besabab yunhi Sar e Sham nikal Aaty hein,

Besabab yunhi Sar e Sham nikal Aaty hein,
mere sb lafz tere naam nikal Aaty hein,

kiya hunar paish karein apne sukhan ka ab hum,
bethy bethy unhein elhaam nikal Aaty hein,

ye vohi wada shikan hein jinhein shikwa hy k,
paich-o-kham zulf me har Gaam nikal Aaty hein,

jinhein kuch kaam nhe apni sajawat ke siwa,
hum bulaien to unhein kaam nikal Aaty hein,

hy ajab bekhudi si unki chashm-e-Girya mein,
maikadey band ho'n to jaam nikal Aaty hein,

ajab hy kocha-e-jana'n me ab meri halat,
bohat sehmey huey Gumnaam nikal Aaty hein,

ajeeb adal hy Ahmed Ajab Adalat hy,
Begunahi Me bhi ilzaam nikal Aaty hein...!!


Unko tasavoorat me aane nahi diya

Unko tasavoorat me aane nahi diya
Halat ne ye lutf uthane nahi diya

Gam mere sath sath bahut door tak gaye
Sikwa magar Zaban pe aane nahi diya

Dastaar gir gai to gire sar to bach gaya
kuch behiso ko zarf khuda ne nahi diya

Tha kitna dil shikan teri yadoon ka marhala
Aankhon ko phir bhi ashk bahane nahi diya

Majbooriyon ne pao mein zanjeer daal dee 
Hamne khusi se apko jane nahi diya

Mai khud hi apni rah ka pathar bana raha
Aisa nahi sath dua ne nahi diya

'shahid' meri saada dilo ne khabhi mughe
Aena doosto ko dikhane nahi diya.


Mohabbat ka meri hasaab mangta hai

Tairay hisaar say bahir nikal gaya hoon main

Tairay hisaar say bahir nikal gaya hoon main
Tu theek kehta hai shayad badal gaya hoon main

Tujhay khabar nahi kaisay sarab rastay thay
Khuda ka shukar k phir b sanmbal gaya hoon main

Mairay alawaa bhi tujh ko azeez hai koi!!!!
Zara c baat pay aaisay hee jal gaya hoon main

Yeh paoo'n jantay hain wakt e hijar kaisa hai
Kadam kadam kisi pathar main dhal gaya hoon main

Utha liya hai sitaroo'n nay aasma'n sir par!!!!
Zara jo chaand ki khatir machal gaya hoon main



Yahi Nahi Koii Toufaan Meri Talash Main Hay

Yahi Nahi Koii Toufaan Meri Talash Main Hay
Keh Mousam Ghum -e- Jana Meri Talash Main Hay

Wasal Rutt Hay Mager Dil Ko Aisa Lagta Hay
Setara Shab -e- Hijrah Meri Talash Main Hay

Main Feslay Ki Ghari Say Guzar Chuki Hoon Mager
Kese Ka Deda -e- Hairan Meri Talash Main Hay

Ye Be-Yaqeen See Aasoodgi Batati Hay
Keh Ak Qarya -e- Weraan Meri Talash Main Hay

Main Tairgi Main Mohabbat Ki Ak Kahani Hoon
Koii Charaag Sa Unwaan Meri Talash Main Hay

Ye Kesa Khowab Tha Dharka Sa Lag Gia Dil Ko
Kay Ak Shaks Pareshaan Meri Talash Main Hay

Tum ko ik talkh haqeeqat bhi bata dete hein

Tum ko ik talkh haqeeqat bhi bata dete hein
jis ko aksar yeh log chupa dete hein

Tum ne girty howay patton ko to dekha hoga
apni har "SANS" wo "TEHNI" pe ganwa dete hein

Kya khoob sajate hein baharon mein shajar ko
kari dhoop mein"apna aap jala dete hain "

Kitne BE-REHAM shajar hein,naey patton ki khushi mein
Peely patton ko khizaon mein gira dety hein

Aur jo girte hein qadmon mein shajar k
"LOG UNHI PATTON KO PAIRON MEIN DABA DETE HAIN"



bohat “Khush Naseeb”kal ki “RAAT”Guzri,

bohat “Khush Naseeb”kal ki “RAAT”Guzri,
Kuch”Tanha” par kuch”Khaas” Guzri,

Na”Neend”aaie na “Khuwab”koi,
Bas”Tere” “Khayalon”ke saath Guzri,

Ujray hue logo se guraizan na hua kar

Ujray hue logo se guraizan na hua kar 
haalat ki kabroo k ye qutbay bhi parha kar 

kya janye q taiz hawa soch mai gum hai 
khwabeeda parindoo ko darakhto se ura kar 

us shaks k tum se bhi marasam to hon gey
wo jhoot na bolay ga mere samnay aa kar

har waqt ka hansna tujhy barbad na kar de 
tanhai k lamho mai kabhi ro bhi liya kar

wo aaj sadyo ki musafat pe khara hai 
dhondta tha jisay waqt ki deewar gira kar 

aye dil tujhy dushman ki bhi pehchan kaha hai
tu halka e yaara mai bhi muhtaat raha kar

is shab k muqadar mai sehar hi nahi "mohsin"
daikha hai kayi baar chiragho ko bujha kar


Saturday, January 29, 2011

Mere pani mein or thora sa milao pani

Mere pani mein or thora sa milao pani 
q k mien pita hon patla pani
kuch tum soch lo apne bare mien kcuh hum
q k mein pita nehi kabi tanha pani
youn daira sa bana lon tum mere ird gird
jana jo chaho tu kabi mussar na aaye mujhe gahra pani
aise saama jaon tum mere dil-o-jan mein
mein sang jaon kisi or k tu mujhe raas na aaye un ka pani
meri sansein tu amant hain tumhari inhein apna banna 
chod na jana mujhe q k bohat daraona hai raat ka pani
zara jo tum door hoye kia pata badal jaon janaa 
tumhein pata hain janaa bari zalim hai tanhai or phir pani
kuch ajeeb se lage hain mere rang un ko nazim
intazar tu hai mujhe jane wo kab aaye peene mere ghar ka pani
kia pata wo kesa hai kitna hai rangeen nazim
aa talash karay ussy pee kar har jagha ka pani...

*~*~*NAZIM*~*~*

Mere pani mein or thora sa milao pani

Mere pani mein or thora sa milao pani 
q k mien pita hon patla pani
kuch tum soch lo apne bare mien kcuh hum
q k mein pita nehi kabi tanha pani
youn daira sa bana lon tum mere ird gird
jana jo chaho tu kabi mussar na aaye mujhe gahra pani
aise saama jaon tum mere dil-o-jan mein
mein sang jaon kisi or k tu mujhe raas na aaye un ka pani
meri sansein tu amant hain tumhari inhein apna banna 
chod na jana mujhe q k bohat daraona hai raat ka pani
zara jo tum door hoye kia pata badal jaon janaa 
tumhein pata hain janaa bari zalim hai tanhai or phir pani
kuch ajeeb se lage hain mere rang un ko nazim
intazar tu hai mujhe jane wo kab aaye peene mere ghar ka pani
kia pata wo kesa hai kitna hai rangeen nazim
aa talash karay ussy pee kar har jagha ka pani...
                                                                                       *~*~*NAZIM*~*~*
                                                                                          

Suno!

Suno!
Main thak gaya hoon
Meri Palkoon pe ab tak kuch adhooray khawaab jaltay hain
Meri neendoon main tairay wasl ka raisham ulajhta hai
Mairay ansoo mairay chehray pe tairay ghamm ko likhtay hain
Mairay ander kai sadiyun ke sannatoon ka daira hai
Maiary alfaaz baahain wa kiya mujh ko bulatay hain
Mager main thak gaya hoon
Aur main ne khamashi ki goad main sir rakh dia hai

Main baloon main
Tumharay hijr ki narm ungliyan mehsoos kerta hoon
Meri palkoon pe jaltay khawaab hain ab raakh ki soorat
Tumharay wasl ka raisham bhi ab neendain nahin bunta
Mairi aankhon main jaisay THAR kay mausam ka basaira hai
Mujhay ander ke sannatoon main gehri neend aai hai
Suno!
Iss yaad se keh do
Mujhay kuch dair sonay de...!!

~*~*~*NAZIM*~*~*~



USSY BHOL JA

USSY BHOL JA,,,,
Kaha aa k rukny thy rasty ! Kaha mod tha ! Ussy bhol ja,
Woh jo myl gaya ussy yad rakh, jo nhi myla ussy bhol ja,

Woh tere naseeb ki barishen kisi aur chhat pay bars gaeen,
dyl e be khabar meri bat sun, ussy bhol ja, ussy bhol ja.

Me to ghum tha tere hi dhyan me,teri aas, tere guman me,
Saba kah gai mere kaan me,mere saath aa, ussy bhol ja.

ksi aankh me nahi ashk e gham, tere baad kuch b nhi hy kam,
tujhe zindagi ne bhula dya, to b muskora, ussy bhol ja.

Kahi chak e jaan ka rafoo nahi, ksi aastien pe lahoo nahi,
k shaheed e rah e malal ka nahi khon baha , ussy bhol ja.

kun ata hy gubaar me, gham e zindagi k fishaar me,
woh jo darj tha tere bakht may, so woh hogaya ,ussy bhol ja.

Na woh aankh hi tri aankh thi,na woh khwab tera khwab tha,
Dyl e muntazir to yeh kyss lye, tera jagna ,ussy bhol ja.

Yeh jo rat dyn ka hy khel sa, ussy dekh ,us pe yaqeen na kar,
Nahi aks koi b mustaqil,sar aaina ,ussy bhol ja.

jo basat e jaa hi ulat gaya,woh jo rasty se palat gaya,
Ussy rokny se hasool kiya, ussy mat bula, ussy bhol ja.

To ye kyss liye shab e hijar k ussy har sitary mei dekhna,
Woh falak k jys pe myle thy hum,koi aur tha,ussy bhol ja.

Tujhe chand ban k myla tha jo, tery sahilo pe khyla tha jo,
Woh tha aik darya Wisaal ka,so utar gaya,ussy bhol ja......


Main kuch bi nahi hon tere liye

Main kuch bi nahi hon tere liye,
Kuch tere liye main ho jaon,

Tere Dil mai rahon;Aankhon mai bason,
Dharkan mai shamil ho jaon,

Aey kash ke jab tu baat kare,
Naam mera bi us mai shamil ho,

Tu jab bi mangay us RAB say,
mera naam bi us mai shamil ho,

Aey kash ke har baar nahi,
Ek baar to aisay ho jaye,

EK PAL KE LIYE AEY JAAN-E-WAFA,
TUJHE MUJH SE MUHABBAT HO JAYE....

Gham-e-dukh dard ke wo nazaray tum na samjho gay

Gham-e-dukh dard ke wo nazaray tum na samjho gay,
Jo Din hum ne tumharay bin guzaray tum na samjho gay,


Tume kaisay btain tum hamaray wastay kya ho,
Samandar ki kahani mai Kinaray tum na samjho gay,

Bas itna jaan lo Ek shakhs se hum ne Muhabbat ki,
Hamaray tootne ka khail Pyaray tum na samjho gay,

Hazaron Mushkilon se khail kar bi Jeetnay wale,
Ye aakhir kis jaga par aa ke Haray tum na samjho gay...



Sawan bi mere tum ho meri pyaas bi tum ho

Sawan bi mere tum ho meri pyaas bi tum ho,
Sehraa ke bagholon mai chupi aas bi tum ho,

Tum yun to door bohat door hu mujh se,
Mehsoos ye hota hai mere paas bi tum ho,

Har Zakhm ki aaghosh mai hai dard tumhara,
Har Dard ki taskeen ka ehsaas bi tum ho,

Khoo jao to weeraan si ho jati hain rahain,
Mil jao to phir KHIZR bi ILYAAS bi tum ho,

Likhta hon to bas tum hi utartay ho QALAM se,
Parhta hon to AL-HAMD se WAN-NAAS bi tum ho...



Sunoo.....!!

Sunoo.....!!

Ek kaam hai tum se,

agar 
wo kaam tum kar do,...

jo seenay mai dhrakta hai,

mujhe wo 
DIL na do,lekin...

Jo chahat uskay andar hai,

wo mere naam
tum kar do...


Hairaan hon ye Kounsa Dastoor-e-Wafa hai

Hairaan hon ye Kounsa Dastoor-e-Wafa hai,
Tu misl-e-rag-e-jaan hai to kiun mujh se juda hai,

Tu ehl-e-Nazar hai to nahi tujh ko khabar kiun?,
Pehlo mai tere koi Zamanay se khara hai,

Likha hai mera Naam Samnadar pe Hawa ne,
aur dono ki fitrat mai Sakoon hai na Wafa hai,

Uth'ti hain jo pehlu se mere Dard ki lehrain,
Be-taab Samandar koi Seenay mai daba hai,

"AY ZEEST KE DOZAKH SE GUZARTAY HOYE LAMHO,
SOCHA HAI KABI TUM NE KE JEENA BI SAZAA HAI..."

Tum Mujhy Mauqa Tu Do

Tum Mujhy Mauqa
Tou Do Aitbaar Ban’ney
Ka

Thak Jao Gy Chalty
Chalty Meri Wafa k
Saath !!!

!~NAZIM~!



Dareeche se jhankti wo ladki,

Dareeche se jhankti wo ladki,
Ajeeb dukh se bhari huyi hai,

Ki uske aangan me phool par,
Ek neeli titli mari huyi hai,

Kabhi azaanon me khoyi khoyi si,
Kabhi namaazon me royi-royi si,

Wo aise duniya ko dekhti hai,
Ki jaise us_se dari huyi hai,

Darod se mehki mehki saansen,
Wazzefe padhti hui wo aankhen,

Ki ek sham_e_ummid unme
Kayi baras se padi huyi hai,

Wo dukh ke chadar me lipti lipti,
Wo kale kapron me simti simti,

Mohabbat usne kisi se shayad
Meri tarha se ki huyi hai.

Aaya kuch is adaa se ke Palkain bighoo gaya

Aaya kuch is adaa se ke Palkain bighoo gaya,

Jhonka tere khyaal ka Kitna Shadeed tha...


Hum jo toote to is tarah toote

Hum jo toote to is tarah toote
jaise hathon se girr k pathar par
koi
shafaaf aaiina toote
jaise palkon se toot tha aansoo
jaise seene 
main ik kamaan toote
jaise umeed ki nazuk daali
barg mosam main na
gahaan toote
jaise aankhon main khwab ki doori
waqt e takmeel se 
ulajh jaye
jaise pairon tale zameen nikle
jaise sar par yeh asmaan
toote
jaise ik shaakh pe bharosa kia
is pe jitne thay aashiyaan 
toote
jaise wehshat se hosh aa jaye
jaise ta dair main dheyaan 
toote
ab jo raiza howay to sochte hain
kis nay dekha tha tootna 
apna
hum jo toote to raayegaan toote



Hoti hai Laakh Gham ki dawa neend bi magar

Hoti hai Laakh Gham ki dawa neend bi magar,
Hotay
hain aisay Gham bhi ke sonay nahi dete...


Duniya ki lambi raahon par,

Duniya ki lambi raahon par,
Hum youn to chalte jate hain,

Kuch aisay loog bi milte hain,
Jo yaad hamesha ate hain,

Wo raah badalte hain apni,
aur murr kar hath hilate hain,

Lekin dilon ki yaadon ko,
Khushboo ban kar mehkate hain,

Aisay hi safar karte karte,
Ek shakhs mila hum ko bi kahin,

Duniya mai achay loog bohat,
Lekin uski si baat nahi,

Thi laag na uskay bolon mai,
Ki baat na koi Lagawat ki,

Uskay Fiqray tootay tootay,
uski aankhain khoi khoi,

Keh kar hi na jaye jo hum chahain,
Socha hi kare bethe bethe,

Par dekhe aisay narmi se,
Ek baar to ho jaye dhoka,

Goo sath hamara khwaab raha,
Usko na hoi pehchan bohat,

Gar bhooj le dil ki baat kabhi,
Ho jata tha Hairaan bohat,

Aur hum uski Hairani par,
Sharminda ho kar reh jate,

Kuch aur hamara Matlab tha,
Phir dair talak usko samjhate,

Ab Chehra uska ho Ujjla,
Ya Aankhain uski hon Gehri,

Ya uskay pyaray honton ki,
Har baat lagay thehri thehri,

Kuch loog jo achay hote hain,
Aur raahon mai mil jate hain,

Hain unko apne kaam bohat,
Kab apna waqt ganwate hain,

KAB PYASE PYASE REHTE HAIN,
KAB JEE KO ROOG LAGATE HAIN...

Taluq torrta hun to mukamal torrh deta hun,

Taluq torrta hun to mukamal torrh deta hun,
Jise main choor deta hun mukamal choor deta hun,


Mohabat ho ke nafrat; bhara rehta hun shidat se,
Jidher se aye ye darya udher hi morrh deta hun,


Yaqeen rakhta nahi kisi kache taluq par,
Jo dhaga toot'ne wala ho usko torrh deta hun,


Mere dekhe huye sapne kahin lehrain na le jayain,
Gharonde Rait ke tameer kar ke chorr deta hun,


Adeem ab tak wohi bachpan wohi takhreeb kari hai,
Qaffs ko torrh deta hun, parinde chorr deta hun....!!

·•••o° NAZIM °o•••·

Kaash hum tum ajnabi hote

Kaash hum tum ajnabi hote,

Jis tarhan log hua karte hein…
Be taAlluq sey, be taArruff sey.

Kaash hum tum ajnabi hote!

Be qaraari na be kali hoti,
Na mukammal, na Zindagi hoti…

Yun na hoti azyatein Dil mein.
Zindagi bhi na hoti mushkil mein!

Aansu’on se na dosti karte,
Apne Dil se na dushmani karte…

Doosr’on ki tarha hum bhi khush rehte, 


Kaash hum tum ajnabi hote…!!


Bikhri hai kuch is terha mohabbat usey kehna

Bikhri hai kuch is terha mohabbat usey kehna
Aankhun main uther aey hai wehshat usey kehna

Kehna k ter bad se g lagta nahi hai 
Be chain se rehti hai tabeat usey kehna

Ashkon se wazu ker k khamosh aakhen
kerti hein roz teri ibadat usey kehna

Ye soch ker badnaam na ho kisi din
Ker li hai tere shaher se hijrat usey kehna

Mehki phir s mere aangan mein rat ki rani
jagi hai tere qurb kihasrat usey kehna

""tum ye mat smajhna k koi rishta hai tum se,

""tum ye mat smajhna k koi rishta hai tum se, 
bs tmhey kbhi dukh ho to ankh num ho jati hai""


Jab Yaad Tumhari Ati Hai

Jab Yaad Tumhari Ati Hai
Hamare Dil Ko bth Jalati Hai
Mein Chup Chaap Kamre Mein Aa Ker
Bas Younhi Ghanto Roti Hoon 


Jab Teri Baatein Satati Hain
Or Khoon Ke Anssoo Rulatein Hain
Mein Chup Chaap Kamre Mein Aa Ker 
Bas Yuonhi Ghanto Roti Hoon 


Meri Palkon Pe Haath Rakh Ker 
JabTumne Pyar Ki Kasamein Khayein Thien
Jab Wo Qasmein Yaad Ati Hain
Shidat Se Mujhko Satati Hain
Mein Chup Chaap Kamre Mein Aa Ker
Bas Younhi Ghanto Roti Hoon 


Jab Haath Chura Ker Tumne Kaha
Chalo Tum Ab Humko Bhool Jao
Wo Rishte Nate Bhool Jao
Wo Pyar Ki Baatein Bhool Jao
Phir Bhi Jab Wo Yaad Ati Hain
Aur Dil Ko Cheer Jati Hain
Mein Chup Chaap Kamre Mein Aa Ker
Bas Younhi Ghanto Roti Hoon


Wo Khuwab Jo Sajaye The Meine
Wo Khuwab Jo Akhir Tum Tor Gaye
Wo Khuwab Jab Bhi Yaad Ate Hain
Or Seene Mein Aag Lagate Hain
Mein Chup Chap Kamre Mein Aa Ker
Bas Younhi Ghanto Roti Hoon


Wo Pooche Mera Haal Ager
Keh Dena Bas Theek Hoon Mein
Han Jab Bhi Wo Yaad Ata Haii
Shidat Se Yaad Ata Hai
Haan Aksar Yaad Ata Hai

Mein Chup Chaap Kamre Mein Aa Ker
Bas Younhi Ghanto Roti Hoon

Bas Younhi Roti Rehti Hoon..............


Lahoo ronay se darta hoon , juda honay se darta hoon ,

Lahoo ronay se darta hoon , juda honay se darta hoon ,
Meri aankhain batati hain k main sonay se darta hoon ....

Meri unggli pakar laina mujhe tanha nahi karna,
Ye dunya aik maila hai tumhain khonay se darta hoon…

Jo hansti ho tu kyun palkoon k goshay bheeg jatay hain ,
Tumhain maloom hai main iss tarah ronay se darta hoon …

Ye jab se khwaab daikha hai tum mujhe choor jaao gee ,
Main ab darta hoon khwaabon se main ab sonay se darta hoon…

Bus itni mohabbat kaafi ha

Bus itni mohabbat kaafi ha 
Tum hans k milo pholoon ki tarhan 
Din rat katein khawabon ki tarha
Aawara hawa lehra k chalay
Lehra k chalay jub sham dhalay
Ek pehar dhalay tum hans k milo
Bus etni mohabat kaafi hai
Tum sath raho sanson mein raho
tum pas raho banhon mein raho
Tum dil mein raho dharrkan ki tarha
Bus etni mohabat kaafi hai

boht masroof lamhon me,

boht masroof lamhon me,
kbhi ek pal ko socho tou,
koi kitnaa akela hy,
kisi ki zindagi "tum" ho,
kisi ki bandagi "tum" ho,
kisi ko tmhari khuwahish hy,
kisi ki chahaten "tum" ho,
kbhi ek pal ko socho tou,
tumhari la'parwahi ne,
tumhari be.nayazi ne,
kisi ko maar daala hy,
koi zinda tou hy laken,
faqat wo saans leta hy,
zara! ik pal ko socho tou,
KOI kitna akelaa hy,
KISI ki zindagi "TUM" HO!!!

phirte hai kab se darbadar,,

phirte hai kab se darbadar,,

kabhi is nagar kabhi us nagar,,

ik doosre k humsafar,,

MAIN AUR MERI AWARGI,,

na aashna har rahguzar,,

na mehrbaan har ik nazar,,

jaye to ab jaye kidar,,

MAIN AUR MERI AWARGI,,

hum bhi kabhi abaad thay,,

aise kahan barbaad thay,,

befikr thay azaad thay,,

masroor thay dilshad thay,,

wo chaal aisi chal gaya,,

hum bujh gaye dil jal gaya,,

nikle jala k apna ghar,,

MAIN AUR MERI AWARGI,,

yah dil hi tha jo sah gaya,,

wo baat aisi kah gaya,,

kehne ko phir kia rah gaya,,

askhon ka darya bah gaya,,

jab kah k wo dilber gaya,,

tere liye main mar gaya,,

rotey hai us ko raat bhar,,

MAIN AUR MERI AWARGI,,



usey batana

usey batana
gham-e-zamana,

faraib dega
khayal rakhna!

wafa k raaste se lot jana

faraib dega
khayal rakhna!

sakoon dain gi wisaal raatein

chain de gay udaas lamhein

magar yah pal bhar ka muskarana

faraib dega
khayal rakhna!

tu khawab kisi ka
main khawab kisi ka
na pyaar mujh ko
na pyaar tum ko

ye ik dooje k pass aana

faraib dega
khayal rakhna!

jo qehr toota hai dil pe mere

wo qehr toote na ab kisi pe

yah dil jalana
yah ghar lutana

faraib dega
khayal rakhna!!!

Mjy Sub Kuch Qabool Hai Aye Falak !!

Mjy Sub Kuch Qabool Hai Aye Falak !!
Ghum-E-Yar Mj Sye Talab Na Kar!!
Main Usy Kaiesy Dil sye Juda Karon!!
Jo MEri Umer Bhar Ki Talash Hai !!!!!!!!!!!!!!!!


Bohat Khamosh Logon Sye Bohat Ulja Nai Krtye ,

Bohat Khamosh Logon Sye Bohat Ulja Nai Krtye ,
Jo Dil Ko Rog Lag Jain Wo Phir Sulja Nai Kartye ,
Chalo Tum Keh Rahye ho To Phir Hum aisa Nai Kartye ,
Magr Ab Dil Yeh Wapis Dain Yeh Hum Soda Nai Kartye ,
Tmhara Dil Hamara Hai Bhaley Tm Jis Jaga Jao,
Tasslli Dil Ko Yeh Di Hai K Tm Dhoka Nai kartye ,
Dilon K Mamly Hain Yeh Hum Tum Sye Pyar Kartye Hain ,
Humein Tm Bhool Jao Gye Yeh Hum Socha Nai kartye ...............

Bohat Khamosh Logon Sye Bohat Ulja Nai Krtye ,

Bohat Khamosh Logon Sye Bohat Ulja Nai Krtye ,
Jo Dil Ko Rog Lag Jain Wo Phir Sulja Nai Kartye ,
Chalo Tum Keh Rahye ho To Phir Hum aisa Nai Kartye ,
Magr Ab Dil Yeh Wapis Dain Yeh Hum Soda Nai Kartye ,
Tmhara Dil Hamara Hai Bhaley Tm Jis Jaga Jao,
Tasslli Dil Ko Yeh Di Hai K Tm Dhoka Nai kartye ,
Dilon K Mamly Hain Yeh Hum Tum Sye Pyar Kartye Hain ,
Humein Tm Bhool Jao Gye Yeh Hum Socha Nai kartye ...............

Buhat Aasan hai ye kehna k muhabat tumm se karta hoon,,

Buhat Aasan hai ye kehna k muhabat tumm se karta hoon,,
Mager matlab muhabat ka Sajh leena nahi Aasan,,
muhabat paa kar kho dee,, muhabat khoo kar paa leena,,
ye un loogoon k Qissay hain,, muhabat k jo mujrim hain,,
jo mil jane pe hastey hain,, bichar janey pe rootey hain,,
Snoo !!!! muhabat karne waley buhat khamoosh hotey hain,
jo Qurbat main bhi jee leetey hain,, jo Furqat main bhi jee leetey hain,,
Na wo faryaad kartey hain,,Na wo Ashkoo Koo peetey hain,,
muhabat karney waley to buhat khamosh hoty hain,,
Han buhat khamosh hotey hain,,,

Meri Surkh surkh Ankhain yeh Bata Rahi Hain

Meri Surkh surkh Ankhain yeh Bata Rahi Hain 
K aj 1 aur Din Gzr Gya us Ko Yaad Kartye Kartye



Qayamat Hoti...

Saarey waadon ko bhula sakta hun,

Saarey waadon ko bhula sakta hun,
lekin rehne do..!
Main tumhein chor k ja sakta hun,
lekin rehne do..!
Tum jo har morr pe keh daitey ho khuda hafiz,
faisla mein bhi suna sakta hun,
lekin rehne do..!
Tum ne jo baat ki dil ko dukhaney wali,
us per main muskura b sakta hun,
lekin rehne do..!
Sharam aaye gi tumhein
warna tumharey waaday,
main tumhein yaad dila b sakta hun,
lekin rehne do."



Tairay aanay ka

~~~~~Tairay aanay ka 
mousam~~~~~~
~~~~~~~~~~~~~~~~~B
aharain yeh batatee hain tairay aanay ka mousam hay
hawain gungunatee hain tairay aanay ka mousam 
hay
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
mairee khamoshee yaan chup k say 
mairay kan mai 
aa kar koie aahat sunatee hain tairay aanay ka mousam 
hay
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
tasawar mai lepat jata hon tairee 
zulf say jab bhee
ghatain jhoom jatee hain tairay aanay ka mousam 
hay
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
yeh jugnoo chand taray chandanee 
hain, 
sab k sab roshanyeh ratain jagmagatee hain tairay aanay ka mousam 

hay
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
mairee tanhaie yaan bay chainnee 
yaan sab dekh kar muj ko
bhala kyu muskoratee hain tairay aanay ka mousam 
hay
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~

Zabt kerti hon to her zakham laho deta hai

Zabt kerti hon to her zakham laho deta hai

Aah kerti hon to andesha-e-ruswai hai

Dekhti hon to hazaton se shansai hay

Sochti hon to wohi gham wohi tanhai hay.....!!!!



Abhi to raat baaqi hai

Abhi to raat baaqi hai
Abhi to raat baaqi hai
Abhi to raat baaqi hai..

Yeh dhal jaye to so jana
Ghari bhar ko dil-e-nadan sambhal jaye to so jana

Ye jalte hont or ye neend mein doobi hui ankhen,
Zara thehro mujhe bhi neend aa jaye to so jana..

Haseen ho tm, Tumhen kya gham,
Tumhe to neend pyari hai,

Hamara haal mat pucho
k hum par raat bhaari hai..

Hamarey sar Qayamat hai,
Ye tal jaye to so jana..

Abhi to rat baqi hai yai dhal jai to so jana..... 


Kabhi waqt mile tu ajao

Kabhi waqt mile tu ajao
hum jheel kinare ja bethen

tum apne sukh ki bat karo
hum apne dukh ki bat karen

or un lemhn ki bat karen
jo sung tumhare beet gaye

or ahd-e-khizan ki nazar hoye in sabz rutun k daman main 
hum piyar ki khushbo mehkayen in bikhrey sabz nazaron ko

hum ankhon mai tasweer karen
phir apne piyar k jadu se 

hum lamhon ko jageer karen 
kabi waqt mile tu ajao 
hum jheel kinare ja bethen.....


Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...