kaghaz, kalam\' aur main...
jab bhi aik sath hote hain..
.kuch aisa kaam karte hain!!!
main\' apni ruh ke goshon se
lafz talash karta hoon
kalam\' un sabhi lafzon ko
bikher deta hai. aur
kaghaz\' unhen simet leta hai..
kaghaz kalam aur main....
bas yahi to kaam karte hain.
sabhi ache lafz chun
kar tumhara naam likhte hain.
No comments:
Post a Comment