Ae Naye Saal Bata
Tujh Mein Niya Kia Hai?
Har Taraf Khalq Nay
Kiun Shor Macha Rakha Hai
Roshni Din Ki Wohi
Taron Bhari Raat Wohi
Aaj Hum Ko Nazar
Aati Hai Har Baat Wohi
Aasman Badla Hai Afsoos,
Na Badli Hai Zameen
Aik SAAL Ka Badalna
Koi Jiddat To Nahi
Aglay Barson Ki Tarah
Hongay Qareenay Teray
Kisay Maloom Nahi
Barah Mahinay Teray
Junuary, February Or
March Mein Paray Sardee
Or April, May,
June Mein Hogi Garmi...
Tera Mun Dehar Mein
Kuch Khoye Ga Kuch Paye Ga
Apni Miyad Basar
Karkay Chala Jaye Ga
Tu Naya Hai To Dikha
Subah Nayi, Shaam Nayi
Warna In Aankhon Nay
Dekhay Hain Naye Saal Kayi
Be-Sabab Daitay Hain
Kiun Log Mubarak-badain
Ghaliban Bhool Gaye
Waqt Ki Karwi Yaadain
Teri Aamad Say Ghati Umer,
Jahan Mein Sub Ki
Faiz Nay Likhi Hai Yeh
Nazam Niralay Dhab Ki..
No comments:
Post a Comment