Nazim's poetry

Nazim's poetry

Wednesday, June 26, 2013

Matti ke jitne ghar

Matti ke jitne ghar main banata chala gaya
Aik shaks khafa ho ke girata chala gaya

Woh mujse buhat door door bhagta raha
Jitna main uske naaz uthata chala gaya

Aik mere waste he osne dard rakhe the
Baki to wo har ik ko hasata chala gaya

Thi haath main taqat magar dil nahin mana
Uske siwa main subko harata chala gaya

Dil mein uski yaaad ke jitne chiragh the roshan
Unko bhi wo sitmgar bhujata chala gaya...




No comments:

Post a Comment

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...