Nazim's poetry

Nazim's poetry

Wednesday, June 26, 2013

Chand ban ker

Tum jahaan chahoo
 waheen Raah badal saktey ho
Phir bhi kuch duur 
merey saath chal saktey ho

Abhi muskaan ban ker 
ankhoon mein chupe ho lekin
Ashkk ban ker 
kaheen ankhoon se oobal saktey ho

Aik pathar ki terha 
tum per asar kuch na hua
Hum ne socha tha k 
Aahoon se tum pighal saktey ho

 Meri qismat ki
 siyahii se ager dartey ho
Chand ban ker 
meri duniyaa mein nikal saktey ho. 








No comments:

Post a Comment

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...